May Haqeqat Ho Samjhtey Heay Woh Afsaana Mujhay, Urdu Ghazal,

May Haqeqat Ho Samjhtey Heay Woh Afsaana Mujhay
Khud Jalatey Hay Bana Kar Apna Parwaana Mujhay
Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Hoosh Ke Batein Karey!
Gham Ke Toofanoun Se B Aata Hay Takrana Mujhay
Un Se Un Ki Bazm May Itna He Keh Ke Utth Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhay
Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhay
Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa-Gari
Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhay
Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,
Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhay
Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya
Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhay
Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye
Hogay Rukhsat Duaayen De Ke Parwana Mujhay

Koi Tu Hota, Sad Ghazal, Urdu Poetry, Sad Poetry,

Mai jis k dil ki kitaab benta
Mai jis ki chahet ka khawab benta
Mai hijr k mosem ki lembi raaton mein
Yaad ben ker azaab benta
Koi Tu Hota
Jo meri khawahish mein uthh ker raaton ko khoob rota
Dukhon ki chader lapeit ker hajoom_e_dunya se door hota
Mai rooth jata manata mujh ko
K  chahe mera kasoor hota
Koi Tu Hota
Mai jis k itna kareeb hota
Na paas koi rakeeb hota
Mai itna uus ka habeeb hota
Ye silsila bhi ajeeb hota
Koi Tu Hota

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...