Advance Happy New Year 2013, New Year 2013, New Year 2013 Images,







Happy New Year, New Year 2013, Advance Happy New Year 2013, New Year Images, 2013 New Year Images,



Mujhay pasand tha, Urdu Heart Touching Poetry,

Mujhe pasand tha har jhoot us k honton se
Wo such na boltha mujh se tu kitna acha tha.

Urdu Ghazal, Urdu Pictures Poetry, Romantic Eyes,

Baad-baan khulne se pehle ka ishara dekhna
Main samandar dekhati hon tum kinara dekhna,

Yon bicharna bhi bahut asan na tha us se magar
Jate jate us kaa wo mur ke dubara dekhna,

Kis shabahat ko liye aaya hai darvaze pe chand
Ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna,

Aiene ki ankh hi kuch kam na thi mere liye
Jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna.

Sad Images Poetry,

Qabrein he janti hain k es shaher jabar main
Mar kar howe hain dafan k zinda garrein hain log.

Aisa Kabhi Na karna


Tum rott jaow mujh se aisa kabhi na karna
Main ik nazar ko tarsu aisa kabhi na karna...

Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain

 
Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain
Tu kya ab khwab din main bhi nazar aanay lagay hain,

Na aankhain dekh sakti hain na hathon ki pohanch hai
Ye kaisay ab k pairon per samar aanay lagay hain,

Tumhain kehta nahin tha khaak main taseer bhi hai
Udhar dekho musaafir lout kar aanay lagay hain,

Bisaat e assmaaN se ab m'ri jaanib sitaary
Saf e sayyargaaN ko toR kar aanay lagay hain,

BayabaaN paaoN se lipty huwye hain gard ho kar
Hamain dar'paish ye kaisay safar aanay lagay hain,

Abhi to koi aabaadi ki soorat bhi nahin hai
Abhi se bastiyoN main nauha'gar aanay lagay hain,

Abhi to milnay ki sa'at Saleem aai nahin hai
Abhi se dil main kaisay kaisay dar aanay lagay hain.

Kehti rahi par aya na yaqeen usko wafa par meri,


Kehti rahi par aya na yaqeen usko wafa par meri
Jo hansta raha auro ka saath deyta raha har baat par meri,


Ek taraf tou Lipta raha wujood say merey
Dusri taraf Dushmano ko deyta raha Fouqiat har baat par meri,


Merey liyey na sahi kuch logo k dar say he KARAM kiya
Ehsan tha tumhara YA ikhtiyar tha sirf us saa at par Meri,


Thaam na saka jo meri MUHABBAT ko apney mazboot kaandho par
Janey kyu jacha raha wo BEYWAFA ab tak nigah par Meri,


us BEYWAFA ki khatir kiya khud ko BARBAAD
Bey naam -o- nishaan kar gaya jo wujood Zindagi par Meri. 

Good Morning

You are the thought that
starts each morning
the conclusion to each day
I envision you in all that I do
and everything I say
You're the smile on my face,
the sparkle in my.

Parveen Shakir Poetry,

Rait he rait hay es dil main musafir mere 
Aur ye sehra tera naqsh e kaf e paa chahta hay.

Pehli Mohabbat,

Safar apnay hissay ki musafat yaad rehti hay
Kahin aabad honay per hijrat yaad rehti hay
Wo chahay dosti ho, Dushmani ho ya mohabbat
Yaha har hal main apni zaroorat yad rehti hay
Kisi sehra ko pyasa chorr jata hay kabhi darya
Kabhi pyasay ko darya ki sakhawat yaad rehti hay
Ye sach hay pyar pehlay he basa rehta hay sanso main 
Ye such hay umer bhar pehli mohabbat yaad rehti hay.

Kuch Bhi To Nahi Waisa, Heart Touching Poetry, Urdu Poetry,

Kuch Bhi To Nahi Waisa
Jaisa Tujhe Socha Tha
Jitna Tujhe Chaha Tha
Socha Tha Tere Lab Per
Kuch Harf Dua'on K
Kuch Phool Wafa'on K
Mehkein Gay Meri Khatir
Kuch Bhi To Nahi Waisa
Jaisa Tujhe Socha Tha
Mehsoos Yeh Hota Hai
Dukh Jheelay Thay Jo Ab Tak
Be-Naam Musaafat Mein
Likhnay Ki Mohabbat Mein
Parhnay Ki Zaroorat Mein
Be-Sood Riyazat Thi
Be-Faiz Ibaadat Thi
Jo Khawaab Bhi Dekhay Thay
In Jaagti Aankhon Nay
Sab Khaam-Khayali Thi
Phir Bhi Tujhe Paanay Ki
Dil Ke Kisi Goshay Mein
Khuwahish To Bacha Li Thi
Lekin Tujhe Paa Kar Bhi
Aur Khud Ko Ganwa Kar Bhi
Iss Habs K Mausam Ki
Khirki Say Hawa Aai
Na Phool Say Khushbo Ki
Koi Bhi Sadaa Aai
Ab Neend Hai Aankhon Mein
Na Dil Main Wo Pehli Si
Taaza Sukhan Aara'i
Na Lafz Mere Niklay
Na Harf-o-Ma'ani Ki
Danish Mere Kaam Aai
Na'deeda Rafaaqat Mein
Jitni Bhi Aziyyat Thi
Sab Mere Hi Naam Aai
Kuch Bhi To Nahi Wesa
Jesa Tujhe Socha Tha
Jitna Tujhe Chaha Tha.

Urdu Pictures Poetry,

Arsa howa wo zulf e pareshan nahi dekhi
Mudat howi nazron se gulistan nahi guzre

Pashto Heart Touching Poetry,


Pa Ranra Bandi Mayan Yam
Da Tiyroo Na, Na Yare Gam,

Za Khpyman Pa Gunah Na Yam
Khu Pay Na Ghaweera Kegam,

Paroon Thukham Om Nan Gul Yam
Saba Bia Ba Khura Kigam,

Za Da Baad Yawa Chapa Yaam
Da Sahra Pa Bagh Tayree Gam,

Cha Pa Lara Ki Saa Rashi
Ka Tayra Way Ka Ranra Way,

Za Ranra Ki Yam Khushal
Da Tiyroo Na Yarigam,

Khu Za Zam Pa Makha Zama
Ka Odrigama Rokigam.

Heart Touching Poetry,

Ajab rasam hay chara garo ki mehfil main
Laga k zakham namak se masaaj karte hay

Ghareeb shehar tarasta hay ik nawalay ko
Ameer shehar k kuthay bhi raaj karte hain.

Kalam e Iqbal,


Urdu Beautiful Poetry,

BAchpan ki wo ameeri na janay kaha chali gayi
Jab pani main hamaray bhi jahaz chala karte thay.

Iqbal ki Shairy,

Ye sehar jo kabhi Farda hay kabhi hay amrooz
Nahi maloom k hoti hay kahan se paida
Wo sehar jis se larzta hay shabistan wajood
Hoti hay banda e momin ki Azan se paida.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...