Pakhtoon Zalmay, Pashto Poetry,


Pukhton zalmay yem ph zigar rala oor mh balawa
Za la jwanday yma ph sar rala oor mh balawa,

Da husan zoor dh wakht ameer ao dh hasty malika
Da miny fasal yem ph sar rala oor mh balawa,

Da rub rakari jor zargi ky darla kor darkaom
Za mirategam ph kandar rala oor mh balawa,

Stargy dy mh arawa stargo ta dy jwand teraom
Ma kawa kena ph nazar rala oor mh balawa,

Za dabarwal yem tola oraz dh mazigar ph tama
Zalima preda ph godar rala oor mh balawa.

Israr Atal, Israr Atal Poetry,

Da PEKHAWAR kho kala cha pase jarale na wo
Sa bala Sahwe pa de Khar, Har wakhte ta Yadawe,

Us Hum Pa Kali ki da Mato Bangro Zikar kege
Hagha Godar Hagha Chinar har wakhte ta Yadawe,

Sa Lewaney de da Zra Yo khabara Na Ghurzawe
Ta na Khafa de Kho ISRAR har wakhte ta Yadawe.

Mere is dil ki keetabon ki tarha, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Beautiful Images,

Mere is dil ki keetabon ki tarha
Puchtey hain wo bhi sawal jawabon ki tarha,

Wo agar kholtey hain pani ki tarha
To hum bhi jaltey hain aaftabon ki tarha,

Wo koi phool ho nahi saktey
Unki khushboo hai sharabon ki tarha,

Dil mai aata hai unka ho jaoon
Mai bhi gulshan ke gulabon ki tarha,

Unse rakhta hoon mai dua e kher
Unse rishta hai mera janabon ki tarha,

Wo unke hont surkh sholo se ’shamsh
Dekhney mai hain kababon ki tarha.

Ahmed Faraz Poetry, Faraz Poetry,

Wafa ki qadar tu aaj bhi bhoht hay Faraz
Faqt mett chokay hain toot k chahne walay.

Romantic Urdu Poetry,

Sun li jo khuda ne woh dua tum to nahin ho
Darwaazey pe dastak ki sadaa tum to nahin ho,

Simtti huyi sharmaayi huyi raat ki raani
Soyi huyi kaliyon ki hayaa tum to nahin ho,

Mehsoos kiya tum ko to geeli hui palkein
Bheegey huye mausam ki adaa tum to nahin ho,

In ajnabi raahon mein nahin koi bhi mera
Kis ne mujhe yun apna kaha, tum to nahin ho.

Hamza Baba Poetry,

Za Hamza ba Khaply Zalfay tr pa tr kam
Jal da Zalfo Khwarava, paky ma gora,

Za ba hum da aaeny sara mashghol yam
ta hum zan sengharawa paky ma gora,

Za Hamza ba khpal Zargy toty toty kam
Ta hum Zrona matawa paky ma gora,

Za ba hum da shpy pa storo k ta goram
Ta hum stori latawa paky ma gora.

Heart Touching Poetry,

Maar Hi Daal Mujhe Chasm-E-Adaa Sey Pehlay
Apni Manzil Ko Pohunch Jaon Qaza Sey Pehlay,

Ik Nazar Dekh Loon Aa Jaao Qaza Se Pehlay
Tum Sey Milney Ki Tamanna Hai Khuda Sey Pehlay,

Hashr K Roz Main Poochoon Ga Khuda Sey Pehlay
Tu Ney Roka Nahi Kiyun Mujh Ko Khata Sey Pehlay,

Ay Meri Mout Thahar Un Ko Zara Aaney Dey
Zahar Ka Jaam Na Dey Mujh Ko Dawa Sey Pehley,

Haath Pohnchey Bhi Na Thay Zulf Dota Tak "Momin"
Hathkarri Daal Di Zaalim Ney Khata Sey Pehlay.

Garmi-E-Hasrat-E-Nakaam Say Jal Jatay Hain

Garmi-E-Hasrat-E-Nakaam Say Jal Jatay Hain
Hum Charaaghon Ki Tarha Shaam Say Jal Jaatey Hain,

Bach Nikaltey Hain Agar Aatish-e-Sayyad Say Hum
Sholaa-e-Aatish-e-Gulfaam Say Jal Jaatey Hain,

Khud_Numaai To Nahi Shewa-e-Arbaab-e-Wafa
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Say Jal Jaatey Hain,

Shamma Jis Aag Mein Jalti Hai Numaish Kay Liye
Hum Usi Aag Mein Gum_Naam Say Jal Jaatey Hain,

Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Meray Naam Kay Saath
Jaaney Kiyon Log Meray Naam Say Jal Jaatey Hain,

Rabt-e-Baaham Pay Humein Kiya Na Kahein Gay Dushman
Aashnaa Jab Teray Paighaam Say Jal Jaatey Hain.

Heart Touching Images Poetry,

Wo bewafa na tha younhe badnam hogaya
Hazaron chahne walay thay kis kis se wafa karta

Kuch To Ehsaas-e-Ziyaan Tha Pehle

Kuch To Ehsaas-e-Ziyaan Tha Pehle
Dil Ka Yeh Haal kahaan Tha Pehle,

Ab To Manzil Bhi Hai Khud Garm-e-Safar
Har Qadam Sang-e-Nishaan Tha Pehle,

Safar-e-Shaoq K Far_Sang Na Pooch
Waqt Beqaid-e-Makaan Tha Pehle,

Yeh Alag Baat K Gham Raas Hai Ab
Is Mein Andeshaa-e-Jaan Tha Pehle,

Yoon Na Ghabraaye Howe Pherte The
Dil Ajab kunj-e-Aamaan Tha Pehle,

Ab Bhi Tu Paas Nahi Hai Lekin
Is Qadar Door kahaan Tha Pehle,

Dere Daale Hain Bagolon Ne Jahaan
Us Taraf Chashm-e-Rawaan Tha Pehle,

Ab Woh Dariyaa Na Basti Na Woh Log
kiya Khabar kon kahaan Tha Pehle,

Har Kharaba Yeh Sadaa Detaa Hai
Main Bhi Aabaad Makaan Tha Pehle,

kiya Se kiyaa Ho Gai Duniyaa Piyaare
Tu Waheen Par Hai Jahaan Tha Pehle,

Hum Ne Abaad kiyaa Mulk-e-SuKhan
kaisa SunSaan Samaan Tha Pehle,

Hum Ne BaKhshi Hai Khamoshi ko Zubaan
Dard Majboor-e-Fughaan Tha Pehle,

Hum Ne Roshan kiyaa Maamoor-e-Gham
Warnaa Har Simt Dhuwaan Tha Pehle,

Gham Ne Pher Dil ko Jagaayaa Nasir
Khaanaa-Barbaad kahaan Tha Pehle.

Sadest Poetry Ever

Buhat Muddat K Baad Kal Shab Kitab E Maazi Ko Main Nay Khola
Buaht Say Chahray Nazar Main Utray Buaht Say Nammon Par Dil Paseeja,

Aik Aysa Safha Bhi Us Main Aaya Likha Hoa Tha Jo Aansoon Say
K Jis Ka Unwaan Sirf Tum Thay Kuch Or Aansoo Phir Us Pe Tapkay,

Phir Us Say Aaagay Main Parh Na Paaya Kitab E Maaazi Ko
Band Kar K Tumhari Yaadon Main Khoo Gaya Main
Ager Tum Milty Tu Kysa Lagta Inhi Khayaloon Main So Gaya Main.

Ye Jo Zeest Ka Safar Hai

Ye Jo Zeest Ka Safar Hai
Ye Jo Raasta Hai Mera
Tum Agar Na Sath Do Gay Tou
Ye Kis Tarhan Katey Ga?

Meri Soch Ki Hadon Tak
Ye Guumaan Kaise Aaye
Koi Pal Bina Tumharey
Bhala Kaise Beet Jaye,

Mere Paas Tum Nahi Ho
Mere Paas Kuch Nahi Hai
Meri Yaad K Nagar Mein
Mere Khuwab K Safar Mein,

Meri Souch Ki Te,hon Mein
Bus Aarzoo Tumhari
Is Aarzoo Se Agay Koi Raasta Nahi Hai
Meri ibtida tumhi thy
Meri intehaa tumhi pe
Tumhe Kis Qadar Hai Chaha
Ye tumhain Pata Nahi Hai.

Main Tamam Umer Safer Karon Gi

Main Tamam Umer Safer Karon Gi
Tum Myra Intizar Mat Karna,

Main Her Pal Tanha Hi Rahon Gi
Tum Logoon Ka Aytbar Mat Karna,

Main Dhoop Dhoop Jalon Gi
Tum Khushyoon K Say Main Rahna,

Main Be Manzil Sada Rahon Gi
Tum Ghyroon Ki Manzil Banna,

Main Her Din Her Pal Maroon Gi
Tum Zamany Ki Dawa Karna,

Main Umer Bhar Roti Rahon Gi
Tum Dunya K Dard Baantna,

Main Sukh Sooghatain Tery Naam Karon Gi
Tum Dukh Sawan Mujhy Soonpna,

Main Tari Rah Ki Dhool Bano Gi
Tum Zara Mari Nigahoon Say Guzarna,

Main Panchi Tumhray Naam Sy Azad Karon Gi
Tum Pardais Main Bhi Raj Karna,

phr kaheen aghosh-e zamee mai so jaugi
magar abb kabhi mai loat kr na augi,

mery akhri dedar ki tmanna mai
tum mera intezar mt karna.

Urdu Heart Touching Poetry, Picture Poetry, Romantic Picture,

Mujh se mat poch mere mehboob ki saadgi ka andaz
Nazrein bhi mujh pe th aur parda bhi mujh se tha

Heart Touching Poetry

Bheegi hoi aankhon ka ye manzar na mily ga
Dil toorr k mt jao kahain ye dil na mily ga,

Phir yad bht aae gi zulfo ki ghaani shaam
Jb dhoop me saya koi sr pr na mily ga,

Aansu ko kbi Oous ka qtra na smajhna
Aisa tumhein chahat ka samandar na mily ga,

Is khuwab k maahol me be-khouf hy aankhen
Jb neend boht aaye gi bistr na mily ga,

Ye soch lo ab aakhri saya hy mohabbat ka
Is dil se utho gay to koi dil na mily ga.

Bohat khamosh logon se, Khamosh Mohabbat, Mohabbat Poetry, Romantic But Sad Poetry,

Bohat khamosh logon se
BOhat uljha nahi karty,

Jo dil ko roog lag jaen
Wo phir suljha nahi karty,

Chalo tum keh rahy ho
To phir hum aisa nahi karty,

Maghar aab dil ye wapis lain
Ye hum souda nahi karty,

Hamara dil tumhara hai
Bhaly tum jis jagah jao,

Tasalli dil ko ye di hai
K tum dhoka nahi karty,

Dilon k mamly hain ye
Tumhi se payar karty hain,

Hamain tum bhool jaogy
Ye hum socha nahi karty,

Bohat khamosh logon se
Bohat uljha nahi karty,

Jo dil ko roog lag jaen
Wo phir suljha nahi karty.

Meri Maiyat Mai Aap Aao Tu, Urdu HearT Touching Poetry, Heart Touching Sad Pictures,

Meri Maiyat Mai Aap Aao Tu
Meri Ruh Ko Kuchh Lamha Shukun Mile,

Thode Phul Bhi Agar Chadha Jaao Tu
In Saanso Ko Fir Se Chalne Ka Zunun Mile,

Shayad Zinda Bhi Ho Jaau Tera Shara Lekar
Dekh Lu 1 Nazar, Rago Ko Naya Khun Mile,

Hamne Socha Ke Ek Ham Hi Akele Hai
Raaste Mai Par Kitne Aashiq Tere Marhoom Mile,

Heart Touching Poetry, Sad Pictures, Sad Poetry,

Bewafa logo ko hum se behter kon jane ga

Hum to wo dewane hain jinhain ksi ki nafrat sy bi pyar tha.

Bikta Hay Husan Bhi, Heart Touching Poetry, Sad Pictures Poetry, Sad Pictures, Ghamgeen Shairy,


Bikta Hay Husan Bhi Zikar Misar K Bazar Ka Karlon
Ya Tazkara Anaar Kali Saleem K Darbar Ka Kar Lon,

Din Es Qadar Tohamaten Mujay Aalam-E-Ishq Ne
Sochta Hon Rukh Apna Bhi Saf-E-Aghyar Ko Kar Lon,

Kehta Hay Ghalib Ishq Bhi Aik Kaam Hota Hay
Chalo Phir Fikar Darvesh, Apne Rozgaar Ka Kar Lon,

Gunah-Eishq Sunta Hon Main, Sadiyon Se Jari Hay
Main Jata Hon K Aik Tawaaf Pane Dildar Ka Kar Lon,

Azan-E-Husan Deti Hay Tere Rukhsar Ki Masjid
Ijazat Ho Darvesh, Honton Se Aik Sajda Payar Ka Karlon.

Urdu Poetry

Neend tu anaay ko thi par dil pechlay qissay lay betta
Aab khud ko be-waqat sulanay main kuch waqt lagay ga

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...