Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe


Rahe ga ishq tera khaak mein mila ke mujhe
Ke ibtidaa mein huye ranj intihaa ke mujhe,

Diye hain hijar mein dukh dard kis balaa ke mujhe
Shab-e-firaaq ne maara litaa litaa ke mujhe,

Baghair maut ke kis tarah koi marta hai
Mera raqeeb bhi roya galey laga ke mujhe,

Har ik shakhss ko haasil judaa hai kefiyat
Jafaa ke lutf tujhe hain mazey wafaa ke,

Ghazab ki aah meri Daagh naam hai mera
Tamaam sheher jalaao ge kya jalaa ke mujhe.

Wasi Shah, Wasi Shah Poetry, Urud Poetry By Wasi Shah, Urud Poetru, Urud Images Poetry,

Chorr diya hum ne aitebar qismat ki lakeeron pe wasi
Jo dilo main bus jaen wo lakeeron main nahi mila karte.

Urdu Poetry,

Har naimat dastiyab thi dunya jahan ki 
Lakin us ki kami ka azala na ho saka.

Na Jane Kin Adaon Se Lubha Liya Gaya Mujhe


Na Jane Kin Adaon Se Lubha Liya Gaya Mujhe
Qateel Mere Samney Chura Liya Gaya Mujhe,

Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Siyahiyan Bikhar Gaen To
Roshni K Wastey Jala Liya Gaya Mujhe,

Barah-E-Rast Rabta Na Mujhse Tha Qabool Unhain
Likhwa K Khat Raqeb Se Bula Liya Gaya Mujhe,

Jab Un Ki Deed K Liye Khara Tha Main Kataar Me
Na Jane Kyon Kataar Se Hata Liya Gaya Mujhe,

Mein Rondney Ki Chez Tha Kisi K Paon Se Magar
Kabhi Kabhi To Zulf Mein Saja Liya Gaya Mujhe,

Poucha Gaya Wafa Hai Kya.? Jawab Tha K Zindagi
Qateel Piyar Se Galey Laga Liya Gaya Mujhe.

Tu Apnay Fun Say Meri Chaahat Ko Aazma K Daikh


Tu Apnay Fun Say Meri Chaahat Ko Aazma K Daikh
Main Toot-gai Hoon Tu Phir Say Mujhay Bana K Daikh,

Teray Badan Mein Lahu Ban K Dorrti Hoon Main
Tujhay Anaa Ki Qasam Hai Mujhay Bhula K Daikh,

Main Itnay Dard Mein B Qehqahay Lagati Hoon
Tu Aik Dukh Mein Mujhay Sirf Muskara K Daikh,

Tujhay To Main Nay Hamaysha Mannaya Hai Lakin
Main Aaj Rooth Chali Hoon Mujhay Mana k daikh.

Bohut Takleef Deta Hai Kisi Ko Al-Vida Kehna


Bohut Takleef Deta Hai Kisi Ko Al-Vida Kehna
Dikhai Kuch Nahi Deta.. Sunai Kuch Nahi Deta
Faqat Kuch Kap-Kapatey Lafz 
Jo Hoonton Per Theher Jayen
Ubharti Doobti Dharkan... Usey Aawaaz Deti Hai
Koi Apna K Jis Ka Naam Apne Dil Pe Likha Ho
Jis K Wastey Dil Se Duaein Hi Nikalti Hoon
Bohat Takleef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna
Jisey Dil Mein Basaya Ho
Barey Hi Maan Se Jiss Ko Kabhi Apna Banaya Ho
Bohat Takleef Deta Hai Ussi Ko Al-Vida Kehna.

Qurb K Na Wafa K Hote Hain, Faiz Ahmed Faiz Poetry, Faiz Poetry,


Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain,

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain,

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain,

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain,

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain.

Wafa ki dastan-e-gham chalo tum ko sunaty hain


Wafa ki dastan-e-gham chalo tum ko sunaty hain
Jo dil pe daagh hain apne sabhi tumko dikhaty hain
Suno neend nahi ati,k dil betab rehta hai
Kabhi title k kachy rang kabhi jugnou statay hain
Sono jab sham hoti hai anderon se khafa ho kar 
Teri yadoon k mandir me charaag.e.shab jalaty hain
Boht khud pe jabar kar k muhabbat ka safar kar k
Bas itna jan payey hain mohabat 'MAR' nahi sakti
Mohabat 'MAAR' deti ha.

Sad Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Sms, Urdu Short Sms, Heart Touching Poetry, Heart Touching Sms,


Agar raasta badalna ho to kuch mushkil nahi hai
Badha sada sa jumla hai k sitaare mil nahi sakte.

Mujhy tum chor mat dena


Mujhy tum chor mat dena 
Hazaron doorian hain per
Yeh rishta toor mat dena
Mera chehra bhula dena
Yaaden bacha lena,
Jo lamhy dard detay hon
Unhy beshak bhula dena
Jo lamhy aas detay hon
Unhy dil sy laga lena
Kahin bhi door reh lena
Bohat majbur reh lena
Magar is duri ko tum
Bahana mat bana lena
Taaluq toor mat dena
Mujhy tum chor mat dena.

Mairi Zindagi Mein Yun Aakar, Door Kyun Jaa Rahey Ho


Mairi Zindagi Mein Yoon Aakar, Door Kyun Jaa Rahey Ho 
Mujhey Gair Hi Rehney Do, Tum Apna Kyun Bana Rahey Ho, 

Tabeer Mein Jin Khwabon Ki Tum Shamil Hi Nahin 
Bolo Phir Aisey Khwaab Mujhey Kyun Dikha Rahey Ho,

Agar Pyar Kar Ke Aisey Hi, Hai Mujh Ko Chorrh Jaana 
Bataao Phir Pyar Karna, Mujhey Kyun Sikha Rahey Ho, 

Jahaan Say Umeed Bhi Kam Hai, Aur Aas Bhi Nahin Baaqi 
Bolo Na Phir Uss Simat, Chaltey Kyun Jaa Rahey Ho, 

Mairi Qismat Mein Nahin Ho, Tum Jaantey Bhi Ho Lekin 
Phir Bhi Apney Dil Mein , Mujhe Kyun Basa Rahey Ho, 

Jiss Haath Mein Na Bani Hai, Lakeer Koi Mairey Naam Ki 
Phir Uss Haath Ko Mairey Haath Mein, Tum Kyun Thama Rahey Ho, 

Main Pehley Bhi Utth Gaya Tha Jo Gira Tha Iss Dagar Pey 
Abb Bhi Rehney Do Zameen Par, Mujhey Kyun Uttha Rahey Ho, 

Iss Rastey Pey Main Kho Gaya Tha Pehley Bhi Mairey Humdum 
Mujhey Dhoondney Ke Waastey Khudh Ko Kyun Ganwa Rahey Ho, 

Mairi Aankhon Mein Hain Abb Aansoo, Na Kabhi Khatam Honey Waaley 
Kaash Sun Letey Jab Main Kehta Tha, Itna Kyun Hansa Rahey Ho, 

Mairi Chotti Si Hai Ikk Guzaarish Mairey Khuda Tu Kabool Kar Ley 
Mujh Ko Bhi Tu Paas Bula Ley, Agar Tum Uss Ko Bula Rahey Ho,

Ajeeb Tarha Se Utri Hai Ab K Tanhai


Ajeeb Tarha Se Utri Hai Ab K Tanhai
Dar-o-Deewar Se Barsney Lagi Hai Ab K Tanhai,

Ye Mere Ghar Ki Udasi Se Dar Gai Shayed
Lipatt K Mujh Se Galey Ro Rahi Hai Tanhai,

Chalo K Raat Hoi Ab To Lotna Hai Mujhey
K Mere Ghar Pe Meri Muntazir Hai Tanhai,

Mai Jaa K Usko Sunati Hoon Haal-e-Dil Apna
Phir Apna Haal Sunati Hai Mujhko Tanhai,

Bari Talaash Se Usko Mila Hai Ghar Mera
Phirti Hai Mere Liye Dar-Badr Tanhai. 

Moam ki tarha pighlty howye daikha us ko


Moam ki tarha pighlty howye daikha us ko
Rut jo badli to badalty howye daikha us ko,

Jany kis ghum ko chhupany ki tamanna hai usy
Aaj her baat par hansty howye daikha us ko,

Wo jo kanton ko bhi narmi se chhuwa karta tha
Hum nay phoolon ko masalty howye daikha us ko,

Najany woh duaon main mangta hai kissy
Haath uthaty he sisakty howye daikha us ko,

Tb haath dua k liye uthaaye hum nay
Jab muqaddar say ulajhty howye daikha us ko.

Iss Rah-Ulfat Ke Musafir Ke Sath Tu Ne Kia Kia


Iss Rah-Ulfat Ke Musafir Ke Sath Tu Ne Kia Kia
Kabhi Apna Lia Kabhi Thukra Dia,

Meri Mohabbat Patton Ka Mahal To Nahi
Kabhi Bana Lia Kabhi Gira Dia,

Main Teri Kitab-e-Zindagi Ka Wo Haraf To Nahi Hon
Jise Kabhi Likh Lia Kabhi Mita Dia,

Mera Sath Tere Lia Bahes Ruswai To Nahi
Jise Kabhi Dunia Ko Bata Dia Kabhi Chupa Lia,

Aaj Kal Logon Ka Yehi Mashgala Ha
Kabhi Hamain Yad Kia Kabhi Bhula Dia.

Kyun na phir sy usay milnay ka irada kr lon

Kyun na phir sy usay milnay ka irada kr lon
Zakhm ye sadiyon purana tar-o-taza kr lon,

Phir sy keh doon usay k tum meri aqeedat ho
Phir sy guzri mohabaton ka eyada kr lon,

Sonp doon ab ye apni shokh tabiyat uss ko
Sochta hu k khud ko is qadar saada kr lon,

Ya usay pa k bhula doon me dard-o-ghum apnay
Ya us k hijjr ka ghum aur b zyada kr lon,

Wo to hr qasam hans k torr jata ha
Phr nya kis tarha us sy koi wada kr lon.

Kabhi Rim Jhim Kabhi Garmi Kabhi Saaya Mujh Mein


Kabhi Rim Jhim Kabhi Garmi Kabhi Saaya Mujh Mein
Janay Kiyon Ek Sa Mausum Nahi Rehta Mujh Mein,

Warna Duniya To Nahi Rakhti Kisi Par Bhi Nazar
Hai Meri Jaan Koi Dilchasp Tamasha Mujh Mein,

Jis Ka Sangam Meri Aankhein Hain Meri Palkein Hain
Behta Rehta Hai Musalsal Koi Darya Mujh Mein,

Apni Hi Zaat Mein Mehsoor Hua Betha Hon
Bhaag Janay Ka Nahi Koi Bhi Rasta Mujh Mein,

Main Khilonon Say Behalnay Pay Qana'at Karta
Kaash Rehta Mera Bachpan Hi Hamesha Mujh Mein.

Ghazab Aya, Sitam Tota, Qayamat Ho Gyi Barpa


Ghazab Aya, Sitam Tota, Qayamat Ho Gyi Barpa
Faqt Itna Hi Pocha Tha K Tum Ko Pyar Hai Ham Se?

Kiya Karta Hoon Tanhai Main Ashkon Se Wuzu Aksar


Kiya Karta Hoon Tanhai Main Ashkon Se Wuzu Aksar
Tassawur Mein Raha Karti Hai Tujh Se Guftugu Aksar,

Teri Ankhon Mein Khud Ko Dhoondta Hoon Is Liye Shayed
Ke Apni Hi Raha Karti Hai Mujh Ko Justuju Aksar,

Takaa Karta Hoon Tanha Beth Kar Pehron Jo Phoolon Ko
Tumhari Un Main Hoti Hai Shabahat Hu’bahuu Aksar,

Woh Raaz Dil Jisey Phoolon Ki Surat Dil Main Rakha Tha
Ussi Ki To Mehek Phailli Hai Jaana, Chaarsu Aksar,

Deen-E-Wafaa Ka Dum To Sab Bharty Hain Lekin Kyon
Issi Ke Naam Par Galiyon Mein Behtaa Hai Lahuu Aksar.

Yeh Bheegi Raat Ye Thanda Samaa Ye Kaif e Bahaar


Yeh Bheegi Raat Ye Thanda Samaa Ye Kaif e Bahaar
Ye Koi Wqt Hai Pehlu Se Uth Kar Jaane Ka.

Ghalib Poetry, Mirza Ghalib Urdu Poetry, Urdu Poetry By Mirza Ghalib, Urdu Poetry,


Ye Bhi Ek Tamasha Hay Bazar-e-Ulfat Main GALIB
DIL Kisi Ka Hota Hay, Aur Bus Kisi Ka Chalta Hay.

Tujh Pe Chahton Ki Inteeha Ki Thi Main ne


Tujh Pe Chahton Ki Inteeha Ki Thi Main ne
Tujhe Kisi Or K Hony Ki zarurat Kya Thi.

December Poetry, Urud Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,


Yaad E Yar Ka Mosam, Aur Sard Hawaon Ka Aalam
Aey Dil Tayar Ho Ja, December Aaney Wala Hai.

Nasir Kazmi, Nasir Kazmi Poetry, Urdu Poetry By Nasir Kazmi, Urdu Poetry,

Aaj mushkil tha sambhalna ae dost
Tu mosibat main ajab yaad aaya.

Dil Dharaknay Ka sabab Yaad Aya


Dil Dharaknay Ka sabab Yaad Aya
Wo Teri Yaad The ab Yaad aya,

Bari Mushkil se Din Guzara tha
Phir Teray Wada-e-Shab Yaad aya,

Beth kr Saya-e-Gul main Nasir
Hum Bohat Roey Woh Jab Yaad Aya.

Barish Poetry, Barish Picture Poetry, Barish Image Poetry, Urdu Poetry, Sad Barish Poetry,

Es barish k mosam main ajeeb si kashish hay
Na chahte howe bhi koi shidat se yaad aata hay.

Wasi Sha Petry,

Kab Bholaye jatay hay dost juda hokar bhi Wasi
Dil toot tu jata hay.... Rehta phir bhi seenay main hay.

Bichar Jana Mera Yon Bhi Ussy Manzoor Hai Shayd


Bichar Jana Mera Yon Bhi Ussy Manzoor Hai Shayd
Kare To Kya Kare Wo Bhi Bohat Majboor Hai Shayd,

Main Us Ka Sheher Hi Chor Aaya Hon To Kya Hasil
Meri Manzil Muhabbat Ki Abhi Kuch Door Hai Shayd,

Me Us K Pyar Me Har Shakhs Se Begana Rehta Hoon
Sabhi Mehsoos Karte Hain Boht Maghrur Hun Shayd.

Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota


Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota
Har kisi ko dekhna pyar nahi hota,

Yu to milta hai roz mohabbat-e-paigam
Pyar hai zindgi jo har baar nahi hota.

Pashto Poetry,

 
Shpe Che Za Oda Sham Kamyabai Khobona Wenma
Gham V Rana Lary Khoshale Khobona Wenma,

Mashoom Yama Mor Jane Khob Tabir Bandy Me Poye Ka
Za Pa Ghareebe Ke Ameery Khobona Wenma,

Ma Umar Shparrhs Kala Dy Khkarigi Che Mayan Shom
Zaka Mashoom Tob Ke Da Zwane Khobona Wenma,

Da Kor Ke Ba Mor Jane Ghreebai Tyra Kam Khatma
Ta Jara Ma Mor Jane Da Spogmai Khobona Wenma,

“Ramiza” Hara Woraz Ta Mata Dair Sherona Waye
Zaka Bya Pa Shpe Ke Sta Shairy Khobona Wenma.

Che Nari Waghe Marghan Zama Pa Qabar


Che Nari Waghe Marghan Zama Pa Qabar
Bia De Na Jari Janan Zama Pa Qabar,

Bulbulan Che Pre Da Gham Sandari Wai
Sa Hajat Day Da Khafgan Zama Pa Qabar,

Pa Jwandun Ye Da Nafrata Zarge dak wo
Us Walar De Pareshan Zama Pa Qabar,

Che Ye Kuz Kram Da Lahad Thoro Thiaro Tha
Pa Khanda sho Raqeeban Zama Pa Qabar,

Bia raghele da Imdada Jarave me
Che Shendi Surki Gulan Zma Pa Qabar.

Urdu Poetry,

Wo mehsoos karay hamain apni har darkhkan k sath
Es k sewa hum ne kabhi kuch chaha he nahi.

Pa ayeena ke khpal tasweer ogora

 
Pa ayeena ke khpal tasweer ogora
Pa khpal tandi zama taqdeer ogora

Da khpalo stargo da duniya kitab ke
Mala zama da khob tabeer ogora

Da zamany da peghorono na yam
Mala pa khpal zan ky zameer ogora

Za Imdad Khiyal darta menath kawoma
zama fikrono la zanzeer ogora.

Sta pa tama da raatlo me shpa saba kra


Sta pa tama da raatlo me shpa saba kra
Pa waro waro salgo me shpa saba kra,

Pa grewan me naray okhke bahedalay
Yao tasweer ta pa kato me shpa saba kra,

Tasawar k sta pa nema shpa Janana
Prot naskor pa Sajido me shpa saba kra,

Da zaaray Jolay me porta da newale
Pa khamosha asvelo me shpa saba kara,

Ma Imdad da bewasai pa Samandar ke
Pa Mojono ao chapo me Shpa saba kara.

Diyar-e-Ishq Mein, Allama Iqbal Poetry, Iqbal Poetry, Iqbal Urdu Poetry, Allama iqbal, Iqbal Pictures,


Diyar-e-Ishq Mein Apna Maqam Paida Kar
Naya Zamana, Naye Subah-o-Sham Paida Kar,

Khuda Agar Dil-e-Fitrat Shanas De Tujh Ko
Sakoot-e-Lala-o-Gul Se Kalaam Paida Kar,

Utha Na Sheesha Garan-e-Farang Ke Ehsan
Sifal-e-Hind Se Meena-o-Jaam Paida Kar,

Main Shakh-e-Taak Hun, Meri Ghazal Hai Mera Samar
Mere Samar Se Mai-e-Lala Faam Paida Kar,

Mera Tareeq Ameeri Nahin, Faqeeri Hai
Khudi Na Baich, Ghareebi Mein Naam Paida Kar.

Zaalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi,


Zaalim tha wo aur zulm ki aadat bhi bahut thi,
Majabur the ham us se muhabbat bhi bahut thi,

Us but ke sitam sah ke dikhaa hi diya ham ne
Go apani tabiyat main bagawat bhi bahut thi,
 
Waaqif hi na tha ramz-e-muhabbat se wo warna
Dil ke liye thodi si inaayat bhi bahut thi,
 
Yun hii nahin mashhur-e-zamaana mera qaatil
Us shaKhs ko is fan main mahaarat bhi bahut thi,
 
Kyaa daur-e-Gazal thaa ke lahu dil main bahut tha
Sur dil ko lahu karane ki fursat bhii bahut thi,
 
Har shaam sunaate the hasinon ko Gazal ham
Jab maal bahut tha to saKhawat bhii bahut thi,
 
Bulawa ke ham 'Ajiz' ko pasheman bhii bahut hain
Kya kijiye kam_baKht ki shoharat bhi bahut thi.

Mujh say apna pyaar kabhi wapas mat lena


Mujh say apna pyaar kabhi wapas mat lena
Mujh say ya iqrar kabhi wapas mat lena,

Kehtai rehna mujh ko har pal main teri hoon
Mujh say ya izhaar kabhi wapas mat lena,

Ankhain roshan rakhna apni yadoon say
Mujh sa ya deedar kabhi wapas mat lena,

Khusboo ban kar basna mera tan man main
Mujh say ya mehkar kabhi wapas mat lena.

Fasila itna barhanay ki zarorat kia thi


Fasila itna barhanay ki zarorat kia thi
Tujhay mujh say roth kr janay ki zrorat kia thi,

Ab jo mujh say routh kr udas rehtay ho
Apna hath mairay hath say churany ki zaroorat kia thi,

Duniya kab kisi k ghum ko apna ghum smajhti ha
Tujhay apna ghum duniya ko dekhanay ki zarorat kia thi,

Main aj tak is bat ko nehi samajh paya
Jab sath tumharay MAIN tha to tum ko zamanay ki zarorat kya thi.

Apane man ko mana liya maine


Apane man ko mana liya maine
Zindagi se nibha liya maine,

Ek khusboo is teri yaad aayee
Ek pal muskara liya maine,

Pyas tadpi to pee liya aansoo
Bhukh me gam ko kha liya maine,

Dard ka geet ek tadapta as
Pyar me gunguna liya maine,

Mujhpe ilzam hai zamane ka
Kyon tera dil chura liya maine,

Jab kabhi need mujhse rooth gayee
Chand ko ghar bula loiya maine,

Kis tarah khusnaseeb Hun mai bhi
Tumko khwabon me paa liya maine.

Tu nahin to zindagi mein aur kya reh jaayega


Tu nahin to zindagi mein aur kya reh jaayega
Door tak tanhaaeeyon ka silsila reh jaayega,

Dard ki saari tahe aur saare guzre haadse
Sab dhooan ho jaayenge ik faakeya reh jaayega,

Yun bhee hoga wo mujhe dil se bhula dega magar
Ye bhee hoga khud usee mein ik khala reh jaayega,

Daayre inkaar ke iqraar kee sargoshiyaan
Ye agar toote kabhee to faaslaa reh jaayega.

Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai


Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
Woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai,

Woh mera teri aankhon ke samandar main uttar jaana
Aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana,

Teri awaaz ke saher se na nikal paana
Tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana,

Bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
Na teri yaad main reh ke tere saath ka sochoon,

Bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
Ke jin se tais utth ti hai ke jin se dard hota hai,

Magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
Tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai,

To tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
Teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna,

Tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
Woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai.

Aaj bhi wo meri rah dekhti to hogi


Aaj bhi wo meri rah dekhti to hogi
Dharkno se mera pata puchhti to hogi,

Yun begana na thaa mera khyaal us se
Fursat mein wo mujhe soachti to hogi,

Jis roz se jalaye honge mere khat usne
Sard si aag mein khud bhi jalti to hogi,

Jaado ke mausam mein ab bhi kabhi
Meri saanso ko mehsoos karti to hogi,

Achanak wo mujhe saamne dekh kar
Ungliyon se aankhon ko malti to hogi,

Aaj bhi meri raakh ke dher mein yaaro
Koii chingari umeed ki sulagti to hogi,

Zamane ki rounko mein bhool jaati hogi
Tanhai mein mujhe gungunati to hogi,

Kar liya hoga usne azaad khudko
Magar meri yaad rah uska rokti to hogi.

Zindagi Main Hai Dhoka is ke Siwa Kuch Nahi


Zindagi Main Hai Dhoka is ke Siwa Kuch Nahi
Tamashai Hai Yeh Dunya is ke Siwa Kuch Nahi,

Meri Zindagi Se Pochiye Zindagi Kia Hai
Zindagi Hai Aik Khuwab is ke Siwa Kuch Nahi,

Khushiyan Hain Lakhon is Dunya Main Magar
Udasi Hai Mere Dil Main is ke Siwa Kuch Nahi,

Mujh Se Jo Log Bhi Mile Hain Khush Hokar
In ke Dilon Main Hai Nafrat ke Siwa Kuch Nahi,

Wade Toh Karte Hain Log Magar Jante Nahi Wafa Karna
Bewafai Hay is Dunya Main is ke Siwa Kuch Nahi,

Pal Main Jisse Chaha Usse Pal Main Bhula Diya
Yeh Khel Hay Dunya Ka is ke Siwa Kuch Nahi,

Tum Ko Chaha Hay Magar Kuch Bhi Nahi Socha ke
Dunya Tou Hai ik Sarab is ke Siwa Kuch Nahi.

Mujhe bekhudi ki hai arzo


Mujhe bekhudi ki hai arzo
Mujhe qurbaton ka khumar de,

To jo rug rug mein bus gaya
Tu hai dorion ka jawaz kia,

Meri zindagi mery pas aa
Meri bekhudi ko qarar dy,

Hai nazar nazar teri justajo
Tu meri wafa ki hy aabro,

Kabhi youn bhi ho mery rubaru
Mujy jan sy hi guzar dy,

Mujy iss tarah sy tu yaad aa
Teri yaad ko bhi guman na ho,

Tu mery khiyal mae youn sama
Mera herf herf nikhar dy.

Ek kasak jo lafzo ki aghosh me sisak rhi thi


Ek kasak jo lafzo ki aghosh me sisak rhi thi
Ek dua jo dor arsh pe bhatak rhi thi,

Wo dua jo tote dil se nikl rhi thi
Wo dua jo do labo pe machal rhi thi,

Kash k ek shaam wo lot aye
Ya kash wo shm hi lot aye,

Is dil ne bht tot k usy chaha tha
Hmne Rab se bs usy hi manga tha,

Pr mri dua to kahin arsh pe hi kho gai
Or phr taqdir b andhera orrh k so gai,

Or phr zabt ka daman hmse chot gaya
EK TOOTA HOWA DIL OR BHI TOOT GAYA.

Mohabbat ki qasam woh aisa nahin tha,


Mohabbat ki qasam woh aisa nahin tha
Woh apna tha magar lagta nahin tha,

Najane kyun na aaya mujh se milne
Zamane se to woh darta nahin tha,

Tabassum ki thi buri aadat us ko
Woh mujh ko dekh kar to hansta nahin tha,

Mere dil main hai faraz us ki ulfat
Woh mera tha, mere jaisa nahin tha.

Tere Baghair, Urud Poetry, Urdu Sad Poetry, Urdu Picture Poetry, Heart Touching Poetrry,

Rotay hain tanha deikh kard mujhay wo rastay 
Jin par tere baghair hum guzray kabhi na thay.

Wo jo tumharey hijer ke manzar ki dhoop thi, Urdu Poetry,


Wo jo tumharey hijer ke manzar ki dhoop thi
Uss dhoop mein hamarey muqaddar ki dhoop thi,

Mein zaat ke ufaq mein dooba tou youn laga
Suraj mein aur mujh mein barabar ki dhoop thi,

Jiss se jhulas gaye thay merey khwab, merey rang
Baahir ki dhoop na thi, merey ghar ki dhoop thi,

Jab se tumhari zulf ki chaaown nahi rahi
Tab se merey naseeb mein dar dar ki dhoop thi,

Bas youn huwa ke chorr diya tu ne mera shehr
Phir mein tha aur shehr mein mehshar ki dhoop thi.

Manam che staso da syalo akhtar wo


Manam che staso da syalo akhtar wo
Zama da chago aswelo akhtar wo,

Dagalta taso khoshalay wokri
Dalta zama da jaredo akhtar who,

Na me sok khowata ranezdi shwa paki
Sa ajeba shan da prado akhtar wo,

Nan me grewan pa okhko lond zaka sho
Da musafaro be asro akhtar wo,

Dalta ke cha omabarake ranakra
Zama pa kor da spelano akhtar wo.

Pa Taqsemono Da Qismat Puri Khanda Rashe


Pa Taqsemono Da Qismat Puri Khanda Rashe
Bazi Khabari Dasi Wawram Che Jara Rashe,

Da Kali Khana! Ta Da Khety Gham Na Sa Khabar Ye
Zamung Bachy Che Doday Weeni Pake Saa Rashe,

Hagha Yateem Che Da Makham Da Azanono Wakht She
Kosa Ki Keni Wai Ka Charta Me Baba Rashe.

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...