Pages

May Haqeqat Ho Samjhtey Heay Woh Afsaana Mujhay...


May Haqeqat Ho Samjhtey Heay Woh Afsaana Mujhay
Khud Jalaatey Hay Bana Kar Apna Parwaana Mujhay,

Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Hoosh Ke Batein Karey!
Gham Ke Toofanoun Se B Aata Hay Takrana Mujhay,

Un Se Un Ki Bazm May Itna He Keh Ke Utth Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhay,

Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhay,

Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa-Gari
Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhay,

Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,
Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhay,

Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya
Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhay,

Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye
Hogay Rukhsat Duaayen De Ke Parwana Mujhay. 

No comments:

Post a Comment