Pages

Kabhi fursat me aao tu Meri ek nazm se milna...

Kabhi fursat me aao tu
Meri ek nazm se milna

Magar is nazm ka dhaaga
Tumhari yaad ka lehja badalte he

Na jaane kiun ..ulajh kar toot jaata hai
Tabhi to is ki sataren jaa baja bikhri hui hain

Koi takiye ki shiknon me bahot tooti hui hain
Koi rukhsaar par aansu ki soorat jamm gai hain

Kahin ek satr ke andar meri wo saans rakhi hai
Tumhaari be nishan masroofiyat ke bojh se

Jiss ko main ab tak ji nahi paayi
Abhi dil ki hatheli par bhi kuch satrein pari hain

Buhat nazuk hain .., lafzon se chhuwa to Toot jaein gi
Yahin ek satr ki ankhon me mera khaab rakha tha

Tumhaari berukhi ke paon se kuchla para hai
Mere iss khaab ka tawan kya do gay...?

Suno!!!

Iss nazm ko unwaan kya do gay...???

No comments:

Post a Comment