Pages

hazaron saal jee layte .... Beautiful Poetry,

Sopard-e-khaak kar dala teri aankhon ki masti nay
Hazarao saal jee layte agar tera dedar na hota.

Sad Poetry, Talakh Lehja,

Wo aik bat bhoht talakh kahi thi us nay
Baat tu yaad nahi, Yaad hay lehja us ka,

Urdu Poetry Collection, Nise Urdu Poetry With Images, Sad Poetry Collection,

Hamare baad nahi aaye ga usay chahat ka iasa maza
Wo oroo se khud kehta piray ga mujhay chaho us ki tarah.

Kisi ko itna pyar do k had na rahay
Magar aitebar b itna karna k shak na rahay,
Wafa itni karna k bewafai na rahay
Aur bus dua itni karna k judai na rahay.


Bazm e wafa main apni ghareebi na pochiye
Ik dard-e-dil hay wo b kisi ka diya howa.

Pyar ka pehla khat likhne main waqt tu lagta hai

Pyar ka pehla khat likhne main waqt tu lagta hai
naye parindoo ko uurn main waqt tu lagta hai,

Jisam ki bat nai thi unkay Dil tak jana tha
Lambi doori teh karne main waqt tu lagta hai,

gaanthh aagar lag jae tu phir rishte hon ya doori
Lakh karein koshish kholne main waqt tu lagta hai,

hum nay iilaje zakhme dil tu dhoond liya lekin?
gheray zakhmo ko bharne main waqt tu lagta hai,

Pyar ka pehla khat likhne main waqt tu lagta hai.

Akelay Jo Dukh Uthaatay ho Ye tum achaa nahe Kartay,


Akelay Jo Dukh Uthaatay ho
Ye tum achaa nahe Kartay,

Humaara Dil Jalaatay ho
Ye tum achhaa nahe Kartay,

Kahaa Bhe tha muhabbat hay
Muhabbat he isay Rakho,

Tamaasha Jo Banaatay ho
Ye tum achhaa nahe Kartay,

Uthaatay ho falak tak tum
humain Sir -e- mehfil magar,

Uthaa Ker Jo Giraatay ho
Ye tum achhaa nahe Kartay,

Koi Jo Pooch Lay tum say K
Rishtaa Kyaa hay ab Un say,

Tou nazron Ko Jhukaatay ho
Ye tum achhaa nahe Kartay,

Bikhar Jaayain andheron may
Sahaara tum tou Detay ho,

Magar Phir Chhod Jaatay ho
Ye tum achhaa nahe Kartay.

So Sad Poetry, URdu Sad Poetry, Sad Image Poetry,



Bus yahi na? Tarap k guzri raat!

Tum na aye to Kiya Sawera na hua?

Mohabat khawab hoti hay,

Mohabat khawab hoti hay,
Mohabat baat hoti hay,

Ager koi pooch bethey to
mohabat raaz hoti hay,

Machalti hui umangon ka
sohana saath hoti hay,

Ager koi dhondna chahy to
mohabat nayab hoti hay,

Mohabat yun b hoti hay
kurbay zaat hoti hay,

Mohabat phool hai shayid!
Ghamon ki dhool hai shaid!

Ksi ka saath hai shaid!
Chamakti raat hai shaid!

Mohabat pur skøøn b hay,
Mager!
Betaab hoti hay.

Cutest Story Ever,


Kid: Mom i love u more thn u love me

mom: how can u prove this my son

kid: becuz u have 2 son and i have only 1 mom!

I love you so much, When i close my Eyes,

When I sleep at night I dream of U.

When I close my eyes I see U.

When the wind blows I feel U near.

When i forget the world I remember U.

When everything will vanish I will be there for U.

BECAUSE
"I LOVE YOU SO MUCH"

Best Poetry Collecion, Urdu Poetry Collection, Sad Poetry Collection,

Kahay Ga Jhoot Wo Hum Say K Tumhari Yaad Aati Hai
Koi Hai Muntazir Kitna Yeh Lehjay Bol Detay Hai.

Kon Ujjra Ho Ga Bhari Duniya Mein Hamari Tarha
Tu B Na Mila Hum Ko Aur Khud Ko B Hum Ganwa Baithay.



Wohi Muntazir Nigahain, Wohi Sham-E-Gham Kaa Manzar
Main Azal Say Dhoondti Hoon Teri Wapsi Ki Rahain..

Best Urdu Poetry, Short Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry,

Talaash-e-Waffa Sy Kiun Khudi Ko Aaziyaat Detay Ho

Aab Maan Bhi Lo K, Duniya Mein Koi Apna Nai Hota.

Tha Mai Neend Me Or Muje Itna Sajaya Ja Rha Tha

Tha Mai Neend Me Or Muje Itna Sajaya Ja Rha Tha
Bary Hi Pyar Se Muje Nehlaya Ja Rha Tha,
NaJane Tha Wo Konsa Ajab Khel Mere Ghr Me
Bchon Ki Trha Muje Kandhy Pe Uthaya Ja Rha Tha,
Tha Pas Mere Mera Hr ApNa Us Wqt
Phr B Me Hr Kisi K Mou Se Bulaya Ja Rha Tha,
Jo Kbi Dekhte B Na Thy Mhbt Ki Nigah Sy
Un K Dil Sy B Pyar Muj Pe Lutaya Ja Raha Tha,
Malom Nhi Heran Tha Hr Koi Muje Soty Hue Dekh Kr
Zor Zor Se Ro Kr Muje Hasaya Ja Rha Tha,
Kanp Uthe Meri Rooh Mera Wo Makan Dekh Kr
Pta Chala Muje Dafnaya Ja Rha Tha,
Ro Para Phr Me B Mera Wo Mnzr Dekh Kr
Jahan Muje Hamesha K Lia Sulaya Ja Rha Tha.!

Poetry with nice background image

Rabton mein kami hay Tark e Taluq na ho ga bharosa rakh

Tery siwa hay hi kon meri zaat se Mukhlis.

Good Night,

Good Night My Dear Friends,
Have a Nice Dream.

Sab kuch luta diya faqat tujh pe bharosa kar k

Sab kuch luta diya faqat tujh pe bharosa kar k
Janey kiun bohot roye ham aysa kar kay,
Yun meri be-basi pey muskuraney waley
Kiya mila tujh ko mere dukh mein ezafa kar k,

Kiya kabhi tu ne bhi mujh se mohbbat ki thi
Puchh zara khud ko Aainy mein khara kar k,
Kash tu mere dard mein hamdard bana hota Wasi
Tu ne to chor diya mujh ko tmasha kr k.

Urdu Heart Touching Poetry, Very Sad Urdu Poetry, Ner Urdu Poetry,

Kisi ki yaaad main itna udaas naa hua karr

Log Naseeb se miltay hn udasiyon se nhi.

Jis tarah ki hain ye diraven ye dar jaisa bhi hai

Jis tarah ki hain ye diraven ye dar jaisa bhi hai
Sar chipane ko mayassar to hai ghar jaisa bhi hai,

Us ko mujh se mujh ko us se nisbaten hain beshumar
Meri chahat ka hai mahavr ye nagar jaisa bhi hai,

Chal para hun shauq-e-beparva h ko murshad man kar
Rasta purpech hai ya purkhatar jaisa bhi hai,

Sab gavara hai thakan sari dukhan sari chubhan
Ek khushbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai,

Vo to hai makhsus ik teri mohabbat ke liye
Tera'Anwar'bahunar ya behunar jaisa bhi hai.

Barish Main Teri Yaad, Teri Yaadein Dil Jala Deti hay,

Phir palat aai hain barish ke sohani raatain

Phir teri yaad main jalny k zamany aaye.

Urdu Picture Poetry, Sad Urdu Poetry, Sad Image Poetry,

Aik Tum ho kay har dil main utar jatay ho

Aik hum hain k Har dil say utar jatay hain.

Very Beautiful and Heart tOuching Poetry of Ahmed Faraz

Hui Hai Shaam Tu aankhon mein Bas Gayaa Phir tu
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Hon
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,
Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,
Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu.

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey

Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey,

Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!
Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey,

Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey,

Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey,

Aisey Chhup Chhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa-Gari
Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey,

Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,
Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey,

Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya
Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey,

Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye
Hogay Rukhsat Duaayen De Ke Parwana Mujhey.

I'm not always strong, Very Sad Poetry with Sad Picture,

I'm not always strong
And sometimes I'm even wrong,
But I win when I choose
And I can't stand to lose,
But I can't always be
The rock that you see,
When the nights get too long
And I just can't go on..!!!

A real relationship,

A real relationship,
Has fights,
Has trust,
Has faith,
Has tears,
Has hurt,
Has sweet smile,
Has genuine laughter,
Has snorts because of the laughter,
Has weird, stupid,
Unnecessary arguments,
Has patience,
Has communication,
Has secrets,
Has jealousy,
And most importantly it has  "Love".

Tanhai Poetry, Urdu Sad Poetry, Urdu Sad Image, Urdu Picture Poetry,

Aye mere dil na pareshaan ho, tanha ho kar

Koi tere saath chala kab tha, Tu bicharrna kaisa.

Kabhi pehli baar school jaane mein darr lagta tha

Kabhi pehli baar school jaane mein darr lagta tha
Aaj har rasta khud hi chunthe hain!
Kabhi mummy-papa ki har baat sacchi lagti thi
Aaj unhi se jhooth bolte hai!
Kabhi chhoti si chot kitna rulati thi,
Aaj dil toot jata hai phr bi sambhal jaate hai!
Pehle dost bas saath khelne tak yaad rehte the
Aaj kuch dost jaan se zyada pyare lagte hai!
Ek din tension ka meaning maa se puchna padtatha
Or aaj tension soulmate lagta hai!
Ekdin tha jab pal mein ladna pal mein manana to roz ka kam tha
Aaj ek baar jo juda hue toh rishte tak kho jate hai!
Sachi,zindagi ne bahut kuch sikhadiya!
Na jaane rabb ne humko itna jaldi bada kyun bana Diya.

Wada e wafa Urdu Poetry, Nice Poetry, Urdu Picture Poetry,

Chorro sarsari waady nhi poorey hoty

Main isi waqt jo maar jaon, to mar jao gay kya ?

Very Nice and Romantic Urdu Poetry,

Ye btata nahi koi mujh ko
Dil jo aa jaye to kya karty hain,

Husn ka haq nahi rahta baqi
Har adaa me wo adaa karty hain,

Kis qadr hay Teri aankhin bebaak
Inn se fitnay bhi Hayaa karty hain.

Good Night, Good Night Picture,

GOOD NIGHT FRIENDS,
HAVE A NICE DREAM.

Very Nice and Romantic Urdu Poetry, Urdu Poetry Picture,

Tumhare hath mein aksar gulaabi phul dekhe hein
Hamari rah mein lekin bichana bhul jate ho,

Tumhein to lot jane ki hamesha fikr rehti hy
Mgar jb lot jate ho to aana bhul jate ho,

Suna hy tum htheli pr hamara naam likhte ho
Mgar jb ham se milte ho dikhana bhul jate ho,

Sb jante hein k tum ham pe hi mrte ho
Mgar jb ham se milte ho btana bhul jate ho.

Bus jaan gaya main teri pehchan yehi hay

Bus jaan gaya main teri pehchan yehi hay

Tu dil main tu aata hay, Samajh main nahi aata.

Allama Iqbal Poetry, Urdu Poetry,

Hansi aati hay mujhay hasrat-e-Insaan per

Gunah karta hay khud, Lughat bejta hay shaitan par.

Poetry About Karachi City...

Qabrein he janti hay k es shehir-e-jabar main

Mar kar howe hain dafan k zinda garray hain log.

Poetry About Karachi City.

Ashiyana Poetry, Dil main ghar bananay tak,

Teri talab main jala dalay saray ashiyanay

Kaha raho main tere dil main ghar bananay tak.

Hum ne kab manga hay tum se wafaow ka sila

Hum ne kab manga hay tum se apni wafaow ka sila

Bus Dard dete raha karo, Mohabbat barrti jaye gi.

Mohabbat Poetry, Urdu Image Poetry,

Barray sakoon se rukhsat tu kar diya us ko

Phir us k bad, Mohabat ne Inteha kar di.

Urdu Poetry, Urdu Sad Poetry, Urdu Sms, Urdu New Sad Poetry,

Aab tu Shaied he kujh se mohabbat karay koi

Meri Aankhon main tum saaf nazar aatay ho.

Phool jaisay chahray

Mat kar wafa en Phool jaisay chehro say

Kyon k Phool khoshbodar hotay hay wafadar nahi.

Urdu Image Poetry, Urdu Images Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Jo ana Chaho hazar rastay,

Jo aana chaho tu hazaar rastay, Na aana chaho tu uzar lakhon

Mizaaj bharham, Taweel rasta, Bharasti barish, khrab mousam.

Meri khushi mai wo kush nahi hai

Meri khushi mai wo kush nahi hai
Uski khushi hi meri kushi hai,

Pyar wo mujhse karti nahi hai
Fir bhi wo meri jindagi hai,

Meri saanso pe uska he pehra
Meri nigahoon mai uska he chehra,

Mere dil ki wo dharkan hai
Meri aankhoon mai wahi basi hai.

Yeh na thee hamari qismat keh wisaal-e-yaar hota

Yeh na thee hamari qismat keh wisaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rahtay yehi intezaar hota,

Tere waade par jiyee ham to yeh jaan jhoot jana
Keh khushi se mar na jaate agar intezaar hota,

Yeh kahaan ki dosti hai bane hain dost naaseh
Koi chaarasaaz hota koi ghamghuzar hota,

Kahoon kis se main keh kya hai shab-e-gham buri balaa hai
Mujhe kya bura tha marana agar aikbaar hota,

Huay mar keh ham jo ruswa huay kyun ka gharq-e-dariya
Na kabhi janaza uthata na kahin mazaar hota,

Yeh masaael-e-tasavvuf yeh tera bayan ghalib
Tujhe ham wali samajhate Joh na badaakhwar hota.

Good Night

I was moving with a couple of thoughts
Straight to the market with steady trots
Hustle bustle of the market shaked my head
To bring a doll, that she loved the best
Or was it a hat, on which she protest,

I was moving with a couple of thoughts
Straight to the market with steady trots
My wife asked for flowers with buds newborn
To look beautiful she wants herself to adorn
Oh ya ! i had to take medicine for my father
He must be waiting for me rather,

I was moving and moving in a shimmering night
To fulfil my daughter?s plight
Further was waiting for me a mishap
There was a BLAST when i openend the flap,

I was moving and moved so far
My friends and family now looks me in a star
My daughter still waiting holding my pic so tight
Still on the terrace on that freezing night?

GOOD NIGHT

GOOD NIGHT

Were you with me tonight?
I could feel you lying next to me.
The warmth of your body
so close, so real.

Can you feel me tonight?
Our passions together
so warm, so intense
that time stands still.

Did you kiss me tonight?
I know I felt your
lips on mine
as we embraced
I could feel

You are with me tonight.
Together as one.
You must be real.
I know that
you are with me tonight.

GOOD NIGHT

GOOD MORNING

When I think of your love
I smile from within my heart
When I think of being with you
I wish we would never part,

Your love is my companion
when days are long and cold
Your love is my destiny
when our lives grow old,

To be your love forever
is my life's intent.
Your love is my endeavor
For you are heaven sent.

GOOD MORNING

Love is a funny thing

Love is a funny thing.
So it is said.
It brings out the parts of us
that we all dread.
We have been there before.
The pain is so real.
It has made our bodies numb
to this warmth that we feel.

At least when alone
there is no one to bring pain.
Our aloneness has a love of
its own in an empty kind of way
A love of solitude
a love to be free
of all of those burdens that
relationships bring.

To try love again,
what price would there be?
To lose this solitaire feeling
that has made the soul free.
To fly alone no more
but to fly wing to wing.
This togetherness could be
costly somehow it seems.

But remember once more
to that love long ago.
Has there not been enough time
to let your feelings flow.
Once more to another
who returns them to you.
Once more to love again
and be loved too.

To share your solitude
with another lonely soul.
Together the two of you
can make your lives whole.
Two halves brought together
to bring joy once again
To the souls thought lost forever
in loves senseless game.

Pyar ek haseen lamha hai usko jeene wala chahiye

Pyar ek haseen lamha hai usko jeene wala chahiye
Pyar ek sapno ki duniya hai usme rehne wala chahiye,

Pyar ek vishvas hai uss per sath chalne wala chahiye
Pyar ek khushi hai jisko baatne wala chahiye,

Pyar ek bejuba shabd jisko bolne wala chahiye
Pyar ek aashiqui hai jiska sath nibhane wala chahiye,

Pyar ek gam bhi hai jisme aansoo pochne wala chahiye
Pyar ek sath suro ka sangam hai jisme taal milane wala chahiye,

Pyar ek diwangi hai jisme kho jane wala chahiye
Pyar ek raaz hai jisko samajhne wala chahiye,

Pyar ek nadani hai ussa bacchane wala chahiye
Pyar ek khamoshi hai jisse padhne wala chahiye,

Pyar ek heera hai jisko khojne wala chahiye
Pyar ek ehsas hai jisko mehsus karne wala chahiye,

Pyar ek aadhura shabd hai usko pura karne wala chahiye
Pyar ek rishta hai jisko apnane wala chahiye
Pyar ek jivan hai jiske sath jingadi bitane wala chahiye.

Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya

Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
Bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya,

Main so raha tha chain se, yun hi kafan e mazaar mein
Yahan bhi sataane aa gaye, kisne pata bata diya,

Tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya
Humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya,

Pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal
Aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya,

Aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal
Thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya,

Ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo
Kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya,

Main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai,
Karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya,

Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
Bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya.

Urdu Poetry

Jis tarah bhi ho saka us tarah toda mujhe
Zindgi ne maut ke qabil nahi samjha mujhe,

Zindgi maankar chalati rahi ghoda mujhe
Har kadam par maarti hai ek naya koda mujhe,

Zindgi har waqt meri peeth par baithi rahi
Apni marzi ke mutabiq har taraf moda mujhe,

Is tarah apno ke ahsaan hai mujh par bahut
Chot de kar dil ko sheeshe ki tarah joda mujhe,

He zindge meri tujhse iltiza itni hai bus
Chhodkar nafrat ki bhasha pyar de thoda mujhe,

Warna ek din jalti hui aag se bolegi meri laash yu
Zindgi ne aag ke dariya me laa chhoda mujhe.

Tamanna hazaar ho bhi to kya Karen hum

Tamanna hazaar ho bhi to kya Karen hum
Yuhin chalte chalte jayenge kahin thum,

Rahat nahin hai ek pal bhi
Har pal tadapte hain sam o sahar
Jane kya hai ye raze zindagi
Jaan pe ban aaye hai meri nikle na dum
Yuhin chalte chalte jayenge kahin thum,

Tanhaai iskadar mere saath hai
Na to hai ab koi manzil ki khabar
Dekho ye kaisa mod aagaya hai
kahan hai shuru zindagi kahan hai khatam
Yuhin chalte chalte jayenge kahin thum,

Kab talak jiyenge kisi aasre pe
Badhti hi jaa rahi hai mushkilen
Kismat bhi shayad khafa hai
Khudaya jaane hoga kab, mujhpe bhi karam
Yuhin chalte chalte jayenge kahin thum.

Meri zindagi aaj ek kahani kah nikli

Meri zindagi aaj ek kahani kah nikli
Ankhon se boondoon ke nadyan bah nikli,

Aaj zindagi ka safa kali siyahi se hai likha
Kiya aur koi imtehan zindagi ka hai rakha,

Jo kabhi na socha tha aaj woh ho para
Ghut ghut ke har lamha aaj mein marta raha,

Kash ye sab kuch jooth hota
Mein aaj ke har lamhoon mein unke kareeb hota,

Pal bhar mein lagta hai sab ho gaya khatam
Aey khuda kar de mujhpar thori se raham,

Sans leta hoon har sans mein unki yaad aati hai
Bas yaad hi hai jo ab unko mujse jor jati hai.

Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya

Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya
Maa ke anchal me sar chhupa ke sone ka mann kiya,

Duniya ki is bhag daud me kho chuka the riste sab
Aaj phir un riston ko ek sire se sanjone ka mann kiya,

Kisi din kisi bheed me dekhi thi kisi ki ankhen
Aaj fir un ankhon me khone ka mann kiya,

Roj sapno se baatein karta tha main
Aaj na jane kyun unse muh modne ka man kiya,

Jhooth bolta hoon apne aap se roj main
Aaj na jane kyun khud se ek sach bolne ka mann kiya,

Dil todta hoon sab ka apni baaton se main
Aaj na jane kyun ek toota hua dil jodne ka mann kia,

Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya
Maa ke anchal me sar chhupa ke sone ka mann kiya.

Mohabbat main tanha jeena seek lo

Such he kaha tha kisi ne tanha jeena seek

Mohabbat jitni bhi suchi ho sath chorr jati hay.

Romantic Urdu Poetry with a Beautiful Picture

Marne k Naam Se Jo Rakhte Thay Honto Pe Ungaliyan

Afsos Wohi Log Meri Zaat k Qatil Nikle.

Aankhon se mohabbat ka izhar, Urdu Poetry,

Tum jo chaho tu mere dil ko sukoon mil jaye

Apna andaz-e-nazar kuch tu badal kar deko,

Mohabbat Poetry, love Poetry, Romantic Poetry,

Hum Toot Kar Karte Hain Meri Jaan Mohabbat

Ye Kaam Hamen Hasb-e-Zarorat Nahi Aata.

Urdu Romantic Poetry with a Romantic Picture

Soucha Tha Ab Na Dil Lagainge Na Mohabbat Karenge

Magar Tum Ne Tu Hamara Irada Hi Badal Diya.

Kuch din to baso meri ankhon mein

Kuch din to baso meri ankhon mein
Phir khowab agar ho jaao to kya,

Koi rung to do mere chehre ko
Phir zakhm agar mehkaao to kya,

Jab hum hi na mehke, phir sahib
Tum baad e saba kehlaao to kya,

Ik aaina tha so toot gaya
Ab khud se agar sharmaao to kya,

Main tanha tha, main tanha hoon
Tum aao to kya, na aao to kya,

Jab dekhne wala koi nahi
Bujh jaao to kya gehnaao to kya,

Ik wehem hai ye duniya is main
Kuch kho'o to kya aur paao to kya,

Hai yun bhi zayaan aur yun bhi zayaan
Jee jaao to kya, mar jaao to kya!!!