Pages

Urdu Sad Poetry,

"BE'CHAIN" Is "QADAR" Hain K "SOO" Nahi Pate Raat Bhar

"NAZRON" Se Likhte Rehte Hain Tera Naam "CHAND" Par.

Allam Iqbal, Allama Iqbal Poetry, Allama Iqbal Picture Poetry,

Sitaroon se aagay jahan aur bhi hay 
Abhi Ishq k imtehan aur bhi hay

By Allama Iqbal


Allama Iqbal Poetry, Allama Iqbal Urdu Poetry, Picture Poetry,

Zindagi insaan ki ik dam k sewa kuch bhi nahi
Dam hawa ki mooj hay, Rim k sewa kuch bhi nahi

Urdu Poetry, Pagal Pan Poetry, Sad Poetry, Picture Poetry,

Darta hon pagal he na mujh ko kar dalain

Raat, samandar, Chaand, Saffar aur ye khamoshi.

Heart Touching Poetry,

Har koi Parsai Ki Umda Misaal Tha

Dil Khush Hua Hai Ik Gunahgaar Dekh Kar.

Urdu Poetry with Beautiful Picture,

Her waqat muajy woo yaad aye,Phir dil say ek aawaz aye

Yah kaisi chahat hai us ki,Jeenay dey na Marnay dey.

Faraz Poetry,

Rott janay ki ada hum ko bhi aati hay Faraz

Kash hota koi hum ko bhi manane wala

Heart Touching Urdu Poetry, Sad Poetry, Sad Picture Poetry, Urdu Ghazal,

Hua hai ishq jo tum se to is mein meri khata kya hai
Tumhein jo ishq nahi hum se to is mein meri khata kya hai,

Tumhara naam sunte hi ye dil dharakne lagta hai
Dharkanen band nahi hoti to is mein meri khata kya hai,

Nahi chahoge kabhi hum ko, kese samjhayen dil ko
Dil na samajhna chahe to is mein meri khata kya hai,

Aankhein band karte hein ki tum ko na dekhen hum
Tum tab bhi nazar aao to is mein meri khata kya hai.

Urdu Sad Picture Poetry, Sad Urdu Peotry, Image Poetry, Sad Picture,


Iss Qadr Naa Har Baat, Yaaron Se Puucho
Jo Baat Raaz Ki Ho, iSharoon Se Puucho,

Lehroon Se Khelna To, Samandar Ka Shauk Hai
Lagti Hai Chot Kaise, Ye Kinaroon Se Puucho.

Good Night,


Ae chand mere dost ko ek tohfa dena
Taro ki mehfil sang roshni karna
chhupa lena andhere ko
har raat ke baad ek khubsurat savera dena

Good Night Friends.

Romantic Poetry,

Yeh teri honton ki shokhi aur mushurahat
Yeh teri chehre ki TAAZGI aur naazakhat.

Yaad delathi hai bithe PALON ki
Yeh teri ZULFON ki masthi AUR shararat.

Sad Poetry,

Loat aai Hain Daikho Barishen Phir Sy Yahan Wahan

Ik Tumhi Ko Loat Anay Ki Fursat Nahi Mili.

Romantic Urdu Picture Poetry,

Suna hai Din main Usey Titliyan satati hain

Suna hai Raat main Jugnu thehar k dekhtay hain.

Barish Poetry, Urdu Poetry, Romantic Poetry,

Apple Iphone

Mausam hai barish ka or yaad tumhari aati hai
Barish ke har qatre se awaz tumhari aati hai,

Badal jab garajte hai dil ki dharkan badh jati hai
Dil ki har ek dharkan se awaz tumhari aati hai,

Jab tez hawayein chalti hai to jaan hamari jati hai
Mausam hai barish ka or yaad tumhari aati hai.

Chalo Batain Kare Itni, Romantic Urdu Poetry,

Chalo Batain Kare Itni,
Falak Ki Goud Me Simte Sitare Thak Ke Soo Jae,
Zameen Pe Bhikre Manzar Sub Ke Sub Heeran Ho Jae
Utarti Aabshare Shor Karna Hi Bhula Baithe,
Thithak Jae Samander Ki Talatum Khaiz Mojeen,
Hawa Hairat Se Tham Jae,
Chalo Batain Kare Itni,
Bina Matlab,Bina Maqsad,
Chalo Batain Kare Itni,
Ke Ik Lamha Ruk Kar Tumhe Sochna Dushwar Ho Jae,
Or Aese Me Achanak Tumhare Lab Se,Muhabbat Ka Iqraar Ho Jae.

Kabhi pyar ki jhagre kabhi mohabbat ki batain, Urdu Sad Picture Poetry,

Kabhi pyar ki jhagre kabhi mohabbat ki batain
Wohi aap k qissey wohi ap ki batain,

Wo miley hai mujko aksar raah me chaltey chaltey
Wohi ajnabi nighaein wohi berukhi si batain,

Na samaj saka jahan mein koi mera dard
Mere gham ko log samjhe meri shayari ki batein,

Koi hamko ye bataye ye junoon nhi to or kya hai
Miley jab bhi hum kisi se kare apki batain,

Mere haal pe wo yuhin kuch aese muskuray
Mein sun raha hu jaise kisi ajnabi ki batain.

Kuch Umer Ki Pehli Manzil Thi, Urdu Poetry,

Kuch Umer Ki Pehli Manzil Thi
Kuch Raaste The Anjaan Bohot,

Kuch Hum Bhi Pagal The Lekin
Kuch Wo Bhi The Nadan Bohot,

Kuch Usne Bhi Na Samjhaya
Ye Pyaar Nahi Aasan Bohot,

Aakhir Hum Ne Bhi Khel Liya
Jis Khel Me The Nuksaan Bohot.

Muhabbat Me Hawas Ke Aseer Hum Bhi Nahi, Urdu Picture Poetry,

Muhabbat Me Hawas Ke Aseer Hum Bhi Nahi
Galat Na Jaan Itne Hakeer Hum Bhi Nahi,

Nahi Ho Tum Bhi Qayamat Ki Tund O Taiz Hawa
Kisi Ke Naqsh E Qadam Ki Lakeer Hum Bhi Nahi,

Hamari Doobti Nabzoo Se Zindagi To Na Mang
Sakhi To Hai Lekin Itne Ameer Hum Bhi Nahi,

Hume Bhuja De Hamari Ana Ko Qatla Na Kar
Ke Bezarar Sahi Faraz BayZameer Hum Bhi Nahi.

Nigahoo Ke Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai, Urdu Heart Touching Poetry,

Nigahoo Ke Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai
Yaqeen Kamil Nahi Gumaan Hai Pyaar Karti Hai,

Laraz Jata Ho Me Ye Soch Kar Ke Kafir Na Ho Jao
Tabiyat Uski Pooja Par Behad Israar Karti Hai,

Use Maloom Hai Shayad Mera Dil Hai Nishane Pe
Laboo Se Kuch Nahi Kehti Nazar Se Waar Karti Hai,

Me Us'se Pochta Ho Khuwaab Me Mujh Se Muhabbat Hai
Phir Aankhain Khol Deta Ho Jab Wo Izhaar Karti Hai.

Kyu Na Phir Us Se Milne Ka Irada Kar Lo, Urdu Sad Poetry,

Kyu Na Phir Us Se Milne Ka Irada Kar Lo
Zakham Ye Sadiyoo Purana Taro Taaza Kar Lo,

Phir Se Keh Do Use Ke Tum Meri Aqeedat Ho
Phir Se Guzri Muhabbat Ka Eiyaada Kar Lo,

Sonp Do Ab Ye Apni Shokh Tabiyat Usko
Sochta Ho Khud Ko Is Qadar Saada Kar Lo,

Ya Use Paa Ke Bhula Do Me Dard O Gum Apne
Ya Us Ke Hijar Ka Gum Aur Bhi Zyada Kar Lo,

Wo Yo Har Kasam Ko Hans Ke Tor Jata Hai
Phir Naya Kis Tarah Us Se Waada Kar Lo.

Yeh Dard Ke Tukre Hain, Ashaar Nahi Saaghar, Urdu Ghazal,


Yeh Dard Ke Tukre Hain, Ashaar Nahi Saaghar
Hum Kaanch Ke Dhaage Mai Zakhmon Ko Pirotey Hain,
`
Aao Kisi Shab Mujhe Toot Ke Bikharta Dekho
Meri Ragon Mai Zehr Judaai Ka Utarta Dekho
Kis Kis Adaa Se Tujhe Maanga Hai Khuda Se
Aao Kabhi Mujhe Sajdon Mai Sisakta Dekho,
`
Bekhabar Tujhe Kiya Khabar,
Teri Aankhon Mai Kesa Jamal Hai
Tujhe Dekh Le Jo Bas Ik Nazar,
Us Ki Aankhon Mai Phir Yeh Sawal Hai,
`
Mujh Se Bichar Kar, Mujh Ko Rula Kar Udaas Tha
Meri Tarah Wo Khud Ko Jala Kar Udaas Tha
Aese Ajeeb Dard Ke Pehre The Chaar Soo
Ab Ke Wo Mere Shehr Mai Aa Kar Udaas Tha,
`
Dil Ke Liye Dard Bhi Roz Naya Chahiye
Zindagi To Hi Bata Kaise Jiya Chahiye
Maano Meri Kazmi, Tum Ho Bhaley Aadmi
Phir Wohi Aawargi, Kuch To Haya Chahiye,

Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The, Urdu Poetry,

Hum Bhi Kabhi Muskuraya Karte The
Ujale Me Bhi Shor Machaya Karte The,

Usi Diye Ne Jala Diya Mere Hatho Ko
Jis Diye Ko Hum Hawa se Bachaya Karte The.

Urdu Poetry,


Seene se lagate the jo mujhe HAAR bana kar
Chhor gaye mujh Ko wo GUNAHGAR bana kar,

Hasb-e-taufeeq sab ne luta hy mujh ko
Apnon ne bhii luta to mujhe YAAR bana kar,

Log kehte the k pyaar mein sirf ruswae hy
Aakhir wo bhii chhor gaya apna TALABGAAR bana kar,

Ab to har taraf se log hamein loot rahe hyn
Koii DOST koii YAAR to koii PYAAR bana kar.

Waada e Wafa, Urdu Heart Touching Poetry,

Nafrato Ko Pyar Main Deta Ho
Pyar Pe Khushi Waar Main Deta Ho
Soch Samajh Kar Wada Karna Mujh Se
Jaa'n
Main Ek Wade Pe Zindgi Guzaar Deta Ho.

Urdu Sadest Picture Poetry,


Sukoon mil gaya Aaj mujhe badnaam ho kar
Tere har ek ilzaam pay yun bezabaan ho kar,

Kya hua gar bulaya mujhe bey izzat karne ke liye
Khush hu main teri mehfil mein mehmaan ho kar,

Log parh hi lenge mohabbat teri aankhon mein
Chahe karle lakh inkaar tu anjaan ho kar,

Ilzaam muj par laga kar khud roye ja rahi ho
Kya payegi meri hamdard shar-e-aam ho kar,

Mil to gaya suboot mujhe teri Mohabbat ka
Ab afsos nahi tere ishq mein nakaam ho Kar.

Heart Touching Poetry


Mujhe maloom hai main us k bina jee nahin sakti

Us ka bhi yehi haal hai Magar Kisi aur k liye.

Hath Ki Lakeerain, Urdu Poetry,


Mitta Di Main ne Aaj Apni Haath Ki Lakeere Bhi

Har bar mujse Kehta tha k tu mere Naseeb Main Nahi.

Urdu Shairy

Jo Kho Bethy Nmaz-e-Ishaq main Hosh o Hwas Apny
Hisab-e-Roz-e-Mehsher Aisy Diwany se Kya Ho ga,

Smjta Kya ha Tu Dewany Jany IShaq ko Zahid
Ye Ho Jayen Ge jis Janib Osi Janib Khuda Ho Ga.

Urdu Picture Poetry

Shumar us ki sakhawat ka kya karin k wo shakhs
Charagh bant'tha phirta hay cheen kar Aankhain

Urdu Poetry,


Main Ghalib aur Faraz nahi jo biyaaan karon lafzon mein

Kahan alfaaz ka wazan , kahan mere yaaar ka husssn.

Heart Touching Poetry,


Kamaal ka hosla diya Rab ne Hum Insano ko

Waqif Hum Agle Pal se nahi Aur Waadein salon ke Karte hain.

Urdu Poetry,


Tum agar muje mil jaate to kuchh aur baat hoti
Tum gar mera saath nibhaate to kuchh aur baat hoti,


Jo lagaayi hai us mahendi ka rang aur nikhar jaata
Mera naam haatho me sajaate to kuchh aur baat hoti,

Kisi aur ke bulaane pe cha diye ho dulhan ban kar
Meri aawaaj sun chale aate to kuchh aur baat hoti,

Dil ki dhadakane bhi dhimi pad gayi tere chale jaane se
Dard-e-dil ka ilaaj bataate to kuchh aur baat hoti,

Bhul gaye hai mushkuraana tuj se bichhadane baad ham to
Agar saath rah ke hame hasaate to kuchh aur baat hoti.

Dharkan Poetry, Pyar ki Jalak Poetry, Romantic Poetry, Romantic Picture, Picure Poetry,


Apni Dharkano Se Kuch Aisy Mera Naam Lo
Ye Waqt Ruk Jaye Is Lamhy Ko Thaam Lo,

Teri Aankhon Mai Jhalak Ho Aesi Mere Pyar Ki
Saahil Pe Jesay Dhalti Haseen Shaam Ho,

Lafzon Se Hota Nhi Izhaar Hum Se Pyar Ka
Bs Meri Aankhon Mai Dekh Kr Khud Ko Pehchaan Lo,

Jesy Tarasta Hai Sehra Shabnam K Choonay Ko
Kabhi Wesy RAB Se Tum B Mujy Maang Lo.

Urdu Poetry

Tera har baar mere khaat ko parh dena aur ro dena

Mera har baar lek dena mohabbat mar nahi sakti.

URdu Poetry, SAd Urdu Poetry, Urdu Picture Poetry, Urdu Shairy,

Na Hath Diya, Na Galay Milay, Na Muyassar Tumhari Deed Hoi

Ab Tum hi Batao, Ae Saajan ye Qayamat Hoi, K Eid Hoi.

Aao Mohabbat Samjhein, Heart Touching Love Poetry, Mohabbat Poetry,

Maine Ek Kitaab Parhi Jis Ke Pehle Page Pe Likha Tha
"Aao Mohabbat Samjhein"
Aur
Aakhri Page Pe Likha Tha
"Jo Samaj k ki Jaye Woh Mohabbat Nahi Hoti"
Aur
Aj Tak Main Mohabbat Nahi Samaj Payi
Kyun Ke
"Mohabbat Jab Hoti Hai To Samaj Nahi Rehti”
Aur
"Jab Samaj Aati Hai Tab Mohabbat Nahi Rehti".

Pagal wo kar deti hogi, URdu Ghazal, Picture Poetry, Urdu Heart Touching Potry,


Pagal wo kar deti hogi
Ab b jab wo hansti hogi,

Muj ko to barbad kia hai
khud bhi shead wo roti hogi,

Arsa bita hai bin dekhe use
jane ab wo kesi hogi,

Us k hath ki rekhon me
Ek rekha meri b hogi,

js din us se milna hoga
Sham b us k jaisi hogi,

Dulhan ban kar wo is dil me
socho kesi lagti hogi,

jin hathon ko maine chooma tha
Unko ab tak takti hogi,

Sun kar mera nam wo shead
Ek lamhe ko chonkti hogi,

janay ab wo kesi hogi
janay ab wo kesi hogi.

Wo Zamana Bhi Ek Zamana Tha, Urdu Romantic Poetry, Urdu Shairy, Sad Poetry, Picture Poetry,


Wo Zamana Bhi Ek Zamana Tha
Jab Kisi Ka Dil Mere Liye Deewana Tha,

Meri Kismat Mein Likhi Thi Judai Unki
Unka Ruth Jana To Ek Bahana Tha,

Usne Mujhe Aazmaya Bahut Hai
Jaa Jaa Kar Maine Manaya Bahut Hai,

Sach Pucho To Bahut Pyara Lagta Hai
Dil Ko Wo Shaks
Jisne Mujhe Rulaya Bahut Hai,

Uski Chahat Main Dil Majbur Ho Gaya
Bewafai To Uska Dastur Ho Gaya,

Kasoor Uska Nahi Mera Tha
Maine Chaha Hi Usko Itna,

Ki Usko Khud Par Gurur Ho Gaya
Ki Usko Khud Par Gurur Ho Gaya.

Read This Really Touchy, Sad Love Story,


One Day A Boy Asked His Girlfriend2 Marry Her,
The Gal Gave Him A Challenge To Live A Day With Out Her,
Only Them She Will Marry Him,
No Communication Was There
For 24hours,
The Boy Dont Know That The Gal Has Only 24 Hours Life
Left,
Becoz She Was Ill,
After 24 HrsThe Boy Went To The Gals
House Holding A Ring,
He Was Shocked To Know That She Was Dead,
She Left A Letter For Him Saying,
U Did It And U Can Be With Out Me,
Do It Everyday My Love
Miss You.

Bachpan Mein Aksar Sath Khela Karte The, Sad Love Story,

Bachpan Mein Aksar Sath Khela Karte The
Main Raja Banta To Wo Rani, Main Naukar To Wo Naukrani,

Main Police To Wo Sipahi, Main Bhikari To Wo Sethani
Main Driver To Wo Savari, Main Student To Wo Teacher,

Pata Nahi Kyun Itna Haq Jamati Thi Mujh Par
Ki Hamari Story Mein Koi Teesra Character Hi Ni Aney Deti Thi,

Aksar Sabhi Kehte The, Ki Inki Jodi Acchi Hai,Inki Shadi Kara Dete Hai
Us SamayTo Sharam Aati Thi
Par Baad Mein Acha Lagne Laga,

Aur Aaj Jab Mujhe
Uski Jarurat Hai To Usne Mujhse Yeh Haq Bhi Cheen Liya
Is mein Bhi Galti Uski Nahi Hogi Kyon Ki Aaj Wo,

Samajhdaar Jo Ho Gayi Hai, Aur Ek Main Hun Jo
Uski Yaadon Mein Itna Busy Tha Ki
Bada Hone Ka Waqt Hi Nahi Mila.

Wo larki shayad pagal thi, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry,

Wo larki shayad pagal thi
Din raat hi gum sum rehti thi
Kuch sharm o haya ka pekar thi
Kuch narm mizaji rakhti thi
Ankhon me neem nasha sa tha
Baataon se deewani lagti thi
Hamraz na tha us ka koi
Bas khud se batain krti thi
Ik sharm k anchal mein aksar
Jazbat chupaye rakhti thi
Darti thi juda ho jane se
Ya pyar se shayed darti thi
Kya sabar tha us deewani ka
Kya zabt e mohabbat rakhti thi
Hai rashk mujhe us pagli pay
Kya khoob mohabbat karti thi.

I knew you were the one, Romantic Poetry, Romantic Picture Poetry,


I knew you were the one"
Right from the very start"
You could see the smiles"
And feel the beating of my heart"
Whenever you are near me"
You take my breath away"
With the things you would do"
And the things you would say"
You are my morning sunshine"
And my brightest star at night"
I will never leave your side"
I’ll be there for you day and night"
I will show you all of my love"
In everything that I can do"
You’ll feel it deep within your heart"
The love that I have for only you"
So, no matter where you are"
You’ll always feel me near you"
Because you see, my dear"
My love is always with you"

Na me paas usko bula saka, Urdu Ghazal,

Na me paas usko bula saka
Na me Dil ki baat bata saka,

Wo hansi hansi me hi chal diya
K me hath tak na mila saka,

U hi sochta raha door tak
Magar usko kuch na bata saka,

Ye maqam hi tha ajeeb sa
K me khud ko b na bacha saka,

Wo juda hua to kuch is tarah
Koi rasam tak na nibha saka,

Usay jana tha wo chala gaya
Usay aaj tak na bhula saka.

Kesi Ye Rehbari Thi, Ye Kesa Faraib Tha, Urdu Sad Poetry, Sad Picture,

Kesi Ye Rehbari Thi, Ye Kesa Faraib Tha

Manzil Dikha K Rah Se Bhatka Giya Mujhe.

Urdu Poetry, Urdu Shairy, Sad Urdu Poetry, Sad Image Poetry, Sad Images, Sad Picture,


Ja aur koi Zabt ki Duniya talash kar

Aye Ishq hm to ab tery Qabil nahi rahe.

Wo hata rahain hain parda, Urdu Romantic Poetry,


Wo hata rahain hain parda
Sar e Aam chupke chupke,

Koi qatal ho raha hay
Dar e Baam chupke chupke,

Ye jhuki jhuki nighain
Ye haseen haseen ishaare,

Kahin le na ja'ain shayad
Meri jaan chupke chupke,

Kabhi shokiyan dikhana
Kabhi un ka muskurana,

Ye aadaain ker na daalain
Mera kaam chupke chupke,

Ye jo hichkiyan musalsal
Mjhe aa rahi hain yaroo,

Koi le raha hay shayad
MERA NAAM CHUPKE CHUPKE.

Ishq Poetry, Heart Touching Sad Poetry, Mohabbat Poetry,


Ro Gay Boht Hum Se Bichar Key Maan Lo

Ye ishq K Sajday Hain Qazaa Soch K Kerna.

Best Way To Reject A Proposal,


Best Way To Reject A Proposal:

Yes I Like U Alot But M Sorry Becouse
Love Is Something That Gives Pain
and
I Can't See U In Pain.

Bewafa Poetry, Poetry About Bewafa, Sad Poetry, Sad Picture Poetry, Sad Urdu Poetry,


O be-wafaa aa sun zara meri rooh pe guzreen jo qayamatein
Mera dil dukha to bohat magar merey lab pe ab bhi gilaa nahi,

Teraa bas naa tha to kiuN mujhey naey mosmoN ki naveed di
Tu mujhey peshgi meiN jo de gaya wo phool ab tak khilla nahi,

Thi jin mosmoN meiN teri wapsi meiN ab bhi hooN unka muntazir
Par wo fasl-e-gul kahaaN reh gai mujhey ab to kuch bhi pataa nahi,

Tera raaz jo mujh pe na khul sakaa mujhey doosroN sey pata chala
Terey ehd-o-pemaaN sey bharey huwey kisi bhi lafz meiN wafa nahi,

Terey dostoN meiN tera bharm rahey yehi soch kar meiN chup raha
Jo nigaah meiN tha wo chupa liya jo dil meiN tha wo kahaa nahi.