Pages

Hijr key mausam main, yeh barish ka barasna kaisa

Hijr key mausam main, yeh barish ka barasna kaisa
Aik sehra sey samandar ka guzarna, kaisa?

Aey meray dil na paraishaan ho, tanha ho kar
Woh teray saath chala kab tha, bicharna kaisa?

Jab shajar saath na de, haar samajh bethay toh
Zard pattoon ka hawaoon sey, ulajhna kaisa?

Chal muhabbat kay samandar main utar jatay hain
Pyar karna hai toh phir maut sey darna kaisa?

Bewafa kehnay ki bhi jurat na karna aey dil
Us nay iqraar kia kab tha, mukarna kaisa?

No comments:

Post a Comment