Pages

ABHI WAQT HAI MJHY CHOR JA, Urdu Ghazal, Ghazal,

ABHI WAQT HAI MJHY CHOR JA
abhi maslihat ka maqam hay,
abhi faaslon ka qayaam hay
abhi dastaras me hay zindagi
abhi chashm e nam me hay roshni
abhi naqsh e pa ko sabaat hay
abhi kuch hee dair ki baat hay
ABHI WAQT HAI MJHY CHOR JA
abhi gard rah se uri nhi
abhi kirchiyon me bati nhi
abhiher nazara haseen hay
abhi subhe no ka yaqeen hay
abhi hum kinaron pe hain kharay
abhi waqt hay mujhe chor ja
ye safar nhi azaab hay
yahan her qadam pe saraab hay
yahan badgumani ka raj hay
yahan bewafai riwaj hay
abhi hosh khoney ke din nhi
abhi terey roney ke din nhi
abhi waqt hay mujhe chor ja
abhi sari nagri andher hay
abhi din nikalney me dair hay
abhi behr e ishq me na utar
abhi shehar sara hay be khabar
ABHI WAQT HAY MJHY CHOR JA.

No comments:

Post a Comment