Pages

Gale Laga Ke Jo Sunate The Dilki Aahon Ko

Gale Laga Ke Jo Sunate The Dilki Aahon Ko
 Taras Rahai Hoon Un Hi Ki Haseen Baahon Ko,

 QadaM QadaM Pe Wo Aankhein Bichha Bichha Dena
 Zaroor Yaad To Hoga TuMhari Raahon Ko,

 Duhayi Hai Teri Aye Rahzaan Duhayi Hai
 Ke Aaj Loot Liya Rehbar Ne Raahon Ko,

 Mile Na Phir Tere DaMan Mein Daag Unke,
 Sharab-E-Naab Se Dhoya Hai Jinki Aahon Ko.

Hart TOuching Poetry, Picture Poetry,

Yun tu ghalat nahi hay chehron ka tasur bhi magar
Log waisay bhi nahi jaise nazar aatay hay.

Ishq Kambakht,

Main ne har dour main insaan he martey deika
Ishq kambakht tujhay mout kyon nahi aat ?

Best Of Allama Iqbal, Iqbal Poetry,

Europ Ki gulami pe raza mand howa tu
Mujh ko gila tujh se hay Europ se nahi hay.

Suno Ae Chaand Si Larki

Suno Ae Chaand Si Larki

Abi Tum Titliyaan Pakro, Ya Phir Gurriyon Se Khelo Tum.
Abi In Masoom Si Aankhon Se Dheron Khawaab Dekho Tum

Faraz -O-Faiz-O-Mohsin Ki Kitaabain Mat Abhi Parhnaa,
Yeh Sab Lafzon K Saahir Hain Tumhain Uljha K Rakh Dain Gay

Tumhain Maloom Hi Kab Hai,
K Mohabbat K Libaday Main Hawas-o-hirs hoti hay

Ye Insano ki dunya hsy magar in se
kahi barr kar yaha wehshi darende hay,

Wo wehshi darnde jin ki aankhon main
machalthay pyaar k peechya hawas aur hirs  hoti hay.

Abi kachi kali gho tum abhi kanton se mat khelo
Abhi Apni Hatheli Pay Kisi Ka Naam Mat Likho,

Abhi Apni Kitaabon Me Gulaabi Phool Mat Rakho
Aabhi sheroon main mat uljho, aabhi umer baqi hay,

Aabhi khud ko sanbhalo tum, aabi mat gungonao tum
Aabhi se Ishq mat sochon, aabhi sb bhool jaon tum,

Sunno Ae Chaand Si Larki.

Wo jo mehv thay sare aina

Wo jo mehv thay sare aina, pas e aina bhi to dekhte
Kabi roshni myn wo tergi ko chupa hua b to dekhte,

Sar e aab jo raha tashna lab, to ye zabt e gham ki hay inteha
Mere hal pay thay jo nukta cheen, mera hosla bi to dekhte,

Wo utar gaye thay jo paar khud, mujhay beehch behar main chorr kar
Tha jo un main itna hosla mujhay doobtha b tu dekthay,

Jinhayn muj say hy ye gila k myn raha be nayaz e khuloos o rab
Mere gird rasm o rawaj ka kabi dayera bi to dekhte,

Wo meri hansi say hayn khush guman, k nishat e zeest hay muda'aa
Mery ashq e gham ka wo ruka hua kabi qafila bi to dekhtejaun elia,

Hon saza k baad b nohtaram, tu hain  h airaton me ye log kyon
Zara zehr-e-haq ka meri tarah kabhi zaiqa bh tu dekhtay,

Wo bhoht he sehal samajh rahay thay meri tishnagi se mout ko
Mere jism se tooti saans k, wo rabata bhi tu dekhtay.

Intezaar,

Milay gi hum ko bhi apni naseeb ki khushiyan 
Bus intezaar hay kab ye kamaal hona hay