Pages

jab bhi tu aks ke saamne jaati hogi

 
jab bhi tu aks ke saamne jaati hogi
teri parchhai ko bhi, ab to sh+arm aati hogi
jo tu mooh ferti hogi aaine se pare
"tu bewafa hai", bas yehi awaaz aati hogi
kis kis ko safaai degi bewafai ki
kis kis ko samjhaayegi tu
dil ko tere to sach maloom hai kamzarf
kab talak jhooth bol paayegi tu
sone ki koshish jab raat ko ki hogi
bebasi mein, neend nahi aati hogi
jo tu mooh ferti hogi aaine se pare
"tu bewafa hai", bas yehi awaaz aati hogi
khudgarzi mein sab kuch bhula diya tune
ek masoom sa dil jala diya tune
tere hunar ki aur kya taareef karu
meri hasti ko pal mein mita diya tune
jab bhi baat meri chalti hogi teri mehfil mein
beparwah si tu, mazaak udaati hogi
jo tu mooh ferti hogi aaine se pare
"tu bewafa hai", bas yehi awaaz aati hogi
main farishta nahi, tujhe maaf kar saku kabhi
tu bhi mare kisi ke ishq mein tabaah ho kar
tadpti rahe tu , gidgidaati rahe pairo mein
aur wo nikal jaaye beparwah ho kar
kabool hogi meri yeh dua yakeen hai
kahi par to dil ki awaaz pahunch paati hogi,
jo tu mooh ferti hogi aaine se pare
"tu bewafa hai", bas yehi awaaz aati hogi.

No comments:

Post a Comment