Pages

Beegi howi ik shaam,

Beegi howi ik shaam ki dehleez par bethay
Hum dil k sulagnay ka sabab soch rahay thay,

Negah e yaar ki lazzat sharab kya janay,

Hazar jaam tasadiq, Hazar mekhanay
Negah e yaar ki lazzat sharab kya janay,

Khudaya sumra khkulay wakht wo


Khudaya sumra khkulay wakht wo
Baidar shawe zama bakht wo,

Sa khaista ghundi doran wo
Che rakaray de janan wo,

Na pa zra ke me sa gham wo
Na khabar rana alam wo,

Mung ba pata yare krala
Duniya kala pohedala,

Shpe ao oraze teredale
Bs hom da ba e waile,

Ta me jan ta me Janan ye
Da har cha na rata gran ye,

Da zra kor ke me osege
Yao lahza me na herege,

Ta zama da zargi khan ye
Bs yo ta zama janan ye,

Gul warina gul ghuty wa
Bs da meni lewanay wa,

Kho afsos che kala gul shwa,
no bs larala da bal shwa,

Na os aghase khanda shta
Ao na me agha mashghula shta.

Nan me da khpalo Armanono Janaza westi da


Nan me da khpalo Armanono Janaza westi da
Da khpal Kitab na me Janana sta nama westi da
Ma da farhaad da muhbt qesa jwandy satale da
Ma da Janan pa Foladi zrra ke wala westi da
Charta che bali ve pa shama sri lambe no halta
Laka pathang da khpal Zarrgi na me lamba westi da
Os tapy ye da Qurbaan aqaz la kami rashi
Bad bakhta Pukhtona ta kho dali na Hujra westi da
Yao sta da meeni da gunah na Tubagar na shoma
Nor ma da tolo Gunahono na tumba westi da.

Wakht mutmayan shi,

Wakht mutmayan shi che mi fikar lewanay owtarey
Laka khari pa kacha taar che azmare owtarey

Laas me pa sir da tasalai domra rutba ganarm chi
Laka patkai che sok imam ta da KABBAY owtarey

Zrono pa stargo ke wri dase niqab posh makhona
Laka shukmaar che kavi shukey wrta khulay owtarey

Zorr muqabil v kho waslh sungar ta nawe rawri
Kala na kala pz sor tokey che tanday owtarey

Da ruswai ihsas sa dasi jadoo owkrey pa ma
Laka qanoon chi loey mujrim la laas aow khpay owtarey

Da hijar shpay ta warkht shom domra ogda shwa che
Laka fitrat pa yawa shpa pore che shpey owtarey

Khpal har qatil ta ghare wzo pa gulono shindoo
Che pa makhono rata bya nawe sehre owtarey

Pa koma khula ye bya dua gwarey da khair "ASIRA"
Kom saray sharmakh sara gadey che nizday owtarey.

Meri Dewangi pe es qadar hairan hote ho

Meri Dewangi pe es qadar hairan hote ho
Mera nuqsan tu dekho, Mohabbat gomshuda meri!!

Urdu Poetry,

FAqt batain andheeron ki mukhz qissay ujalo k 
Charaagh aarzo layker na tum niklay na hum niklay.

Jab Yaad Ka Album Kholoon,


 Jab Yaad Ka Album Kholoon Tu Kuch Log Bohat Yad Atay Hein
Main Apna Bachpan Sochoon Tu Kuch Log Bohat Yad Atay Hain,

Ab Janay Kis Nagari Mein Ja Kar Soay Hoay Hein Barsoon Say
Mein Raat Gaay Tak Jagoon Tu Kuch Log Bohat Yad Atay Hein,

Kuch Batain Thein Phoolon Jaisi Kuch Khushboo Jaisay Lehjay They
Mein Sehan-E-Chaman Mein Tehloon Tu Kuch Log Bohat Yad Atay Hein,

Jub Punchi Lout Kar Atay Hein Or Sham Ki Lali Parrti Hey
Mein Jheel Kinaray Baithoon Tu Kuch Log Bohat Yad Atay Hein,

In Ulti Seedi Raikhaoon Koo Pehroon Chooma Kartay They
Mein Apni Hathali Daikhoon Tu Kuch Log Bohat Yad Atay Hein,

Woo Pal Bhar Ki Narazgiyan Or Maan B Jana Pal Bhar Mein
Ab Khud Say Roothoon Tu Kuch Log Bohat Yad Atay Hein.

Inkar Hay Mohabbat Say,

Sau bar kaha main ne inkar hay mohabbat se
Har bar sada aai tum dil se nahi kehtay.

Sarapa Ashk Hoon,

\
Sarapa Ashk Hoon, Mai Ab Bikhar Jaoun To Behtar Hai
Jidher Jatay Hain Ya Badal, Udher Jaoun To Behter Hai,

Ye Dil Kehta Hai, Teray Sheher Mai Kuch Din Theher Jaoun
Magar Halaat Kehtay Hain, K Ghar Jaoun To Behter Hai,

Diloon Mai Farq Aain Gay, Taaluq Too Jayain Gay
Jo Dekha Jo Suna, Us Say Ab Mukar Jaoun To Behtar Hai,

Yahaan Hai Kon Mera? Jo Mujhy Samjhay Ga
Main Koshish Kar K Ab Khud He, Badal Jaoun To Behter Hai.

Main kisi ko kya ilzam don apni mout ka Sahil, Sahil Urdu Poetry,

Main kisi ko kya ilzam don apni mout ka Sahil
Yaha tu satane walay bhi apne thay dafnanay walay apne.

Chehray Pe Mery Zulf Ko Bikhrao Kisi Din, Urdu Poetry, Urdu Romantic Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Ghazal, Love Poetry, Urdu Love Sms,


Chehray Pe Mery Zulf Ko Bikhrao Kisi Din
Kyun Roz Garajtay Ho Baras Jao Kisi Din.

Perhon Ki Tarah Husn Ki Barish Mein Naha Loon
Baadal Ki Tarah Jhoom K Ghir Aao Kisi Din

Khushboo Ki Tarah Guzro Mery Dil Ki Gali Se
Phoolon Ki Tarah Mujh Pe Bikher Jao Kisi Din

Guzrain Jo Mery Ghar Se To Ruk Jayain Sitaray
Istarah Meri Zaat Ko Chamkao Kisi Din

Main Apni Her Ik Saans Isi Raat Ko De Doon
Sir Rakh K Mery Seenay Pe So Jao Kisi Din.

Resham Zulfon Neeli Aankhon Walay Achay Lagtay Hain, Urdu Poetry, Urdu Ghazal Poetry, Romantic Urdu Poetry,


Resham Zulfon Neeli Aankhon Walay Achay Lagtay Hain
Main Shaa'ir Hoon Mujhko Ujlay Chehray Achay Lagtay Hain

Tum Khud Socho Aadhi Raat Ko Thanday Chaand Ki Chaaon Mein
Tanha Raahon Par Hum Dono Kitnay Achay Lagtay Hain

Aakhir Aakhir Sachay Qool Bhi Chubhtay Hain Dil Walon Ko
Pehly Pehly Payar K Jhootay Waaday Achay Lagtay Hain

Jab Se Wo Pardees Gaya Hai Sheher Ki Ronaq Rooth Gayi
Ab To Apny Ghar K Band Dareechay Achay Lagtay Hain

Kaali Raat Mein Jagmag Karty Taaray Kon Bichata Hai?
Kis Dulhan Ko Ye Moorti,Ye Gehnay Avhay Lagtay Hain

Kal Us Roothay Roothay Yaar Ko Dekha To Mehsoos Huwa
MOHSIN Ujlay Jism Pe Meelay Kapray Achay Lagtay Hain.

Waasta Husn Se Ya Shiddat-E-Jazbaat Se Kya, Urdu Ghazal, Sad Urdu Poetry, Urdu New Poetry, Urdu Poetry, Heart Touching Poetry, Urdu Love Sms,


Waasta Husn Se Ya Shiddat-E-Jazbaat Se Kya?
Ishq Ko Tery Qabeelay Ya Meri Zaat Se Kya?

Meri Masroof Tabiyat Bhi Kahan Rok Saki
Wo To Yaad Aata Hai Usko Mery Din Raat Se Kya

Piyas Dekhon Ya Karon Fikr K Ghar Kacha Hai?
Soch Mein Hoon K Mera Rishta Hai Barsaat Se Kya

Aaj Usay Fikr Hai Kya Log Kahain Gay Munsif
Kal Jo Kehta Tha Mujhe Rasm-O-Rawayaat Se Kya?.

Ye Kya Ke Bayaan Sab Se Dil Ki Haalat'ain Karni, Faraz Poetry, Ahmed Faraz Urdu Poetry, Heart Touching Poetry By Ahmed Faraz, Ahmed Faraz Urdu Ghazal,


Ye Kya Ke Bayaan Sab Se Dil Ki Haalat'ain Karni
FARAZ Tumko Na Aayin Mohabbat'ain Karni

Ye Qurb Kya Hai K Tu Saamnay Hai Aur Humain
Shumaar Abhi Se Judai Ki Saa'atain Karni

Koi Khuda Ho K Pathar Jisay Bhi Hum Chaa'hain
Phir Tamaam Umr Usi Ki Ibaadat'ain Karni

Hum Apny Dil Se Hain Majboor Aur Logon Ko
Zara Si Baat Pe Barpa Qayamat'ain Karni

Milayain Jab Un Se To Mubham Si Guftagu Karna
Phir Apny Aap Se So So Wazahat'ain Karni.

Mere Dard Mere Malal Ki Yeh Mere Khayal Ka Silsila


Mere Dard Mere Malal Ki
Yeh Mere Khayal Ka Silsila

Kisi Yaad Se Mila Hua
Us Dekhney Usey Soochna

Meri Zindagi Ka Hai Faisla
Yeh Usi Ki Palkon K Saye

Meri Rooh Mein Jo Utar Gye
Yeh Junoon Manzil Ishq Hai

Jo Chalay Tu Jaan Se Guzer Gaye
Mujhe Is Maqam Per Chorna

Hai Yeh Bewafaii Ki Inteha
Yeh Qafas Hai Jesi Khuli Fiza

Yehi Sukh Ka Sans Mein Loon Zara
Jinhein Teri Deed Ki Pyaas Thi

Woh Katoorey Naino Se Bhar Gye
Yeh Junoon Marze Ishq Hai
Jo Chalay Tu Jaan Se Guzer Gye.

Zakhmi Dil, Dard e Dil, Dard e Dil Poetry, Zakhmi Dil Poetry, Mohabbat Main Dard, Dard e Mohabbat Poetry,


Saza Aisi Mili Mujh Ko, Zakham Aise Lage Dil Par
Chhupata To Jigar Jaata, Sunata To Bikhar Jaata.

Heart Touching Poetry, Romantic Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, Urdu Love Sms,


Tujhse mohabbat kar k ab maine tere dil mein panah li hai
Dard mile ya mile aaram sanam ab ye kisne parwah ki hai

Is mohabbat mein kar diya hai sab kuch tere naam
Tere qadmo mein dil ke sath sath jaan bhi bichha di hai

Khusiyan mile hajaar tujhe chehre se muskan na ho gum
Mere deewane dil ne har dum tere liye itni si dua ki hai

Tujhe soche tujhe chahe tujhe he bas apnaa bataye
Mere is nadan dil par tune kaisi ishq ki hwa ki hai

Bin dekhe tujhe neend aati nahi chain bhi aata nahi
Meri aakhon ko tere deedar ki aadat tune lga di hai

Apne narm narm labon se chhua jo ekbar mere labon ko
Bujhti hi nahi labon ki jo tishangi tmne bdha di hai

Deewana ban tera bas tera hi khyal mein dooba rahun
Mohabbat mein sanam meri hasti tune ranjhe si bna di hai.

True Love Story, Sad Love Story, Heart Touching Love Story,


Aik waqt ki baat hai ek ladka tha banjara sa
Khule gagan me udta rahta wo panchhi awara sa

Na ghar ki thi chinta koi na apna thikana tha
Har dar par wo firta rahta tha mara mara sa

Mar pit awara gardi se use fursat nhi milti thi
Apne jaise awara dosto ke sar pe hi zindagi uski chalti thi

Magar jyada din chal na saka uska ye dhong dhtura
Aik ladki mili jiski ankho ka jadu chal gya us pe pura

Dhire dhire us ladki ko bhi bhane laga tha ye awara
Aik baar mile phir milne lage dobara dobara

Dono ke dil me khyal ab shadi ka sajne laga tha
Magar zami asman kaise ek honge ye dar sabhi lagne lga tha

Ladki ne apne baba ke aage apna sara kissa rakha
Magar baba ne ladke ko ek dam se nakara
Apni bezti sunkar ghar se nikal aaya bechara

Magar ladke ne har na mani mehnat karne laga wo
Mehanat kar ke din rat marne laga wo

Kuchh hi salo me ladke ne apna alag hi mukam bnaya
Mehanat ho to kuchh bhi hasil hojayega duniya ko smjhaya

Apni khushi manata hua ladki ke ghar jab pahucha
Dekha waha jalsa laga tha mohal tha garma garmi ka

Waha mandap saja hua tha magar dulha dulhan nhi the
Ladka itna kuchh smjh na paya sahi se

Magar andar jate dang rahgya ladki lal jode me arthi pe padi thi
Uska baap pairo me tha maa uski sar pe hath fer rahi thi

Ladke ne jate hi gili ankho se ladki ka matha chuma
Swal bhare nazro ke sath baap tarf wo ghuma

Baap ne btaya ke kafi intzar ke baad hum iski shadi kra rahe the
Nahi karegi to achha na hoga kah kar dra rahe the


Taiyar bhi hogyi thi magar na jane jaan kio dedi
Jo baat thi kam se kam khul ke to hamse kahti

Tabhi ladki ki chhoti bahan ne chithi ladke ko di
Us chithi ne ladke se sari khani kah di

Likha tha mai ab aur intzar nhi kar sakti
Magar tumhari na hone pe mai hu mar sakti

Kisi aur ka hone se achha mai duniya se hi uth jau
Tumhari na hui to ab kisi ke hath na aau

Ladka ye padhte padhte achanka ladke ke upr gir gya tha
Jab dekha sabne to achank hi wo mar chuka tha

Shadi wale ghar se aaj do lashe uth rahi thi
Unki lashe unki sachi mohabbat ki dastan kah rahi thi

Mohabbat ne ek awara ki zindagi to badli thi
Magar iske badle me do masoom jane bhi li thi.

Waasta Husn Se, Ya Shiddat-e-Jazbat Se Kya


Waasta Husn Se, Ya Shiddat-e-Jazbat Se Kya
Ishq Ko Tery Qabeely, Ya Meri Zaat Se Kya?

Meri Masroof Tabiyat B Kahan Rok Saki
Wo To Yaad Aata Hai, Us ko Mere Din Raat Se Kya?

Pyaas Dekhoon Ya Karoon Fikr K Ghar Kacha Hai
Soch Me Hoon K Mera Rishta Hai Barsaat Se Kya?

Ab Usy Fikr, K Kya Log Kahen Ge Saghar
Kal Jo Kehta Tha Mujhy, Rasm-o-Riwayaat Se Kya.

Urdu Sad Peotry, I Want Kill My Self, Sadest Ghazal, Sadest Urdu Poetry,


Maktab-e-Ishaq mein pesh aye Sawalon ki tarah
Hum pareshan hi rahey apney Khayalon ki tarah,

Jab b anjaam-e-mohabat ne pukara khud ko
Waqt ne pesh kiya hum ko Misaalon ki tarah,

Zikar jab ho ga mohabat mein tabaahi ka kahin
Yaad “Hum” ayen ge duniya ko Hawaalon ki tarah,

Hum dil to kya jaan bhi luta den ge,
koi chahay to Sahi chahney walon ki tarha

Sadest Urdu Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Sad Poetry, Sad Picture Poetry, Heart Touching Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Sad Ghazal,

Chehra Koi B Aankh Mein Thehra Na Phir Kabhi
Dil Ne Kisi B Shakhs Ko Chaha Na Phir Kabhi,

Rootha Zara Si Baat Pe Uth Kr Chala Gaya
Aysa Gaya K Loot k Aaya Na Phir Kabhi,

Kuch Youn Mila Tpaak Se Bus Ishq Ho Gaya
Wo Ajnabi Tha Kon Tha’ Socha Na Phir Kabhi,

Us Ne Bataur Tohfa Diya Tha Libas-e-hijr
Pehna Jo Aik Baar’ Utaara Na Phir Kabhi,

SAQI Guzr Chuka Tha had-e-Aitdaal Se
Jany Kahan Gya’ Usay Dekha Na Phir Kabhi.

Urdu Ghazal, Urdu Poetry, Heart TOuching Urdu Poetry, True Love, True Love Poetry, Picture Poetry, Romantic Picture,


Koi Gesu, Koi Aanchal Hame Aawaz Na De
Ab Kisi Aankh Ka Kajal Hame Awaz Na De,

Hum Hain Khamosh To Khamosh Hi Rehne Do Hamein
Koi Aahat Koi Halchal Hamein Awaz Na De Hamein,

Hum Ne Tanhai Ko Mehboob Bana Rakha Hai
Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai,

Phir Pukara Hai Mohabat Ne Hamein Kya Kijye
Di Sada Husn Ki Janat Ne Hamein Kya Kijye,

Jis Ke Saye Se Bhi Aksar Hamein Dar Lagta Tha
Choo Liya Akhir Usey Hasrat Mein Kya Kijye,

Hamne Jazbaat Ke Daman Ko Bacha Rakha Hai
Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai,

Raas Aai na Kabhi Pyar Ke Halat Hamein
Dil Ke Is Khel Mein Har Bar Hoi Maat Hamein,

Kya Karenge Kahan Jayenge Kidhar Jayenge
De Gai Jabbhi Daga Yeh Mulakat Hamein,

Bas Isi Soch Ne Hamein Devana Bana Rakha Hai
Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai.

Urud Poetry,

Zamana roye ga bharso hamain yaad kar k 
Ginayinge sub hamari khobiya jab hum na hongay.

Mujhay kis taraf jana hay, kuch khabar nahi hay,

Mujhay kis taraf jana hay, kuch khabar nahi hay, 
Mere rastay bhi ko gaye meri mohabbat ki tarah.

Kabhi Lehja badal layna, Urdu Romantic Poetry, URdu Poetry, Urdu Picture Poetry, Sad Urdu Poetry, Heart Touching Urud Poetry,

Kabhi Lehja badal layna, Kabhi taiwar badal layna
Enhain aata hay ik pal main kai manzar badal layna.

Raaton mein tu meri yaadon pe chal ke Aa


Raaton mein tu meri yaadon pe chal ke Aa
Tootey na khuawaab koi aise sambhal ke Aa

Armaan phir koi jage jeene ko sang tere
Baahon mein tu mere aise machal ke aa

Raahon mein hai teri dushwariyaan kitni
Milne ko mujhse phir tu rastey badal ke Aa

boo E gesu ki tere mehek baaton ho mein mere
Saanon mein tu meri khushboo mein dhal ke Aa

Hone de kuch khataa aye husn-E-beparwaah
Sharm-O-haya ke tu pardoN se nikal ke Aa

Hojayein ek jaan hum rooh mein utar ke “Prashant”
pighalti hai momm jaise waise pighal ke Aa.

Gham-e-Hayaat se kuchh pal chura ke dekheinge


Gham-e-Hayaat se kuchh pal chura ke dekheinge
Iradatan bhi kabhi muskura ke dekheinge

Woh saj sanwar ke abhi muskura ke dekheinge
Qasam ye khaayi hai , bijli gira ke dekheinge

Karaa deiN khud se woh deedar , warna kah deeje
Hum apne haath se Ghunghat hata ke dekheinge

Abhie jo lagte haiN masroof dunyadaari meiN
Zara hi deir mein nazreiN bacha ke dekheinge

Mile ga chaahne wala ? , ye jaan'ne ke liye
Woh apne haath meiN Menhdi rachaa ke dekheinge

Samaao , ya na samaao , hamaari baanhoN meiN
Tumhaari baanhoN meiN Hum to samaa ke dekheinge

Na rok paaye ga Deedar-e-yaar se koi
Zamaane bhar ko ,'Hasan', hum dikha ke dekheinge.

Jin Ke Aangan Mein Ameeri Ka Shajar Laga Ho


Jin Ke Aangan Mein Ameeri Ka Shajar Laga Ho
Unn Ka Har Aaib Bhi Duniya Ko Hunar Lagta Hai,

Iss Dard-e-Dil Ka Zamaane MeN Koi Sahaara Nahi
Main Woh Dariya Hoon Jis Ka Koi Kinaara Nahi,

Ek Jalte Hue Diye Ko Roz Bujhaa Deti Hai Hawaa
Koi Puche Uss Diye Se,Woh Jaan-Boojh Kar Haara Nahi,

ViraniyoN MeN Bhi Chalte Rehne Ka Hausla Rakhta Hoon
Tum Khud Aaye Ho, Maine To TumheN Kabhi Pukaara Nahi,

Har Taraf Ek Ajeeb Si Khamoshi Hai Iss Shehar MeN
Tum Sab Ke Ho Bhi Jaao To Kya,Koi Yahaan Tumhara Nahi,

Purshish-e-Gham Ki Bhi Rasm Kaun Nibhaata Hai Yahaan
Koi Hai Iss Duniya MeN,Jo Kisi Bhi Gham Ka Maara Nahi,

Prashant Zindagi Jab Bhi Mauka De,Khul Kar Muskuraao
Kuch Sukoon Ke Pal Zaruri Hai Varna Zindagi ka Guzaara Nahi.

Abhi masroof hon, Urdu Poetry, Urdu Romanatic Poetry, Urdu Sad Poetry, Sad Picture Poetry, Heart Touching Urdu Poetry,

Abhi masroof hon kafi, kabhi fursat main sochonga 
K tujhay yaad rakhne main, main kya kya bhol jata ho

Chaand ki Raat, Darya Ka Sahil, Porray Chand Ki Raat, Urdu Romantic Poetry, Romantic Poetry,

kabhi yun hon
Darya ka sahil hon
Poray chaand ki raat hon 
Aur TUM aaow.

Bewafa Sanam, Bewafa Poetry, Urdu Poetry, Urdu Sasd Poetry, Sadest Urdu Poetry, Urdu Sadest Picture Poetry,

Be Wafa Sanam

Mujhay ab kuch samjhai nahi deta
Wo apne tak rasai nahi deta
Main takhti rehti hon pagalon ki tara
Wo zalim kahin dekhai nahi deta.

Urdu Picture Poetry, Urdu Poetry, Urdu Poetry about Eyes, Heart Touching Urdu Poetry, New Urdu Poetry,

Phir kon bhala dad e tabasom enhain dega
Royegi bhoht mujh se bicharr kar teri aankhain.

Kala yar pa kali na we kala za kali kina yama, Pashto Heart Touching Poetry, Pashto Poetry, Romantic Poetry,

Kala yar pa kali na we kala za kali kina yama 
KHUDAYA yaow ka zamong kali mong pa yaow bal deer maeen you.

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi, Heart Touching Poetry, Romantic Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry,

Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi.

Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi,

Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi,

Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi,

Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi.

Abaseen Yousafzai Poetry, Abaseen Yousafzai Pashto Poetry, Pashto Poetry By Abaseen Yousafzai, Abaseen Yousafzai, Da Abaseen Yousafzai Shairy,

Aqla da ishq na wyara pakar da
Ghar k deer loui de pa sar ye laar da,

Pa anangoki de gul tokegi
De zarghoni la veena pakar da,

Sta pa khkula de zama sogand wi
Maza kho tola da intezar da,

Aihsas me khor krra jwand me samsoor ka 
Zwani me wakhla ka sta da kaar da ,

Zama pa stargo ki zaan ta gora 
Che pa ki kheera sta da ruksaar da ,

Ta khaista ye za qadardab yam 
Akhir ba geer she pa ma de laar da.

Dard e Dil Poetry, Heart Touching Poetry, Heart Touching Ghazal, Sadest Ghazal Peotry, Urdu Poetry, Urdu Sad Peotry,


Dard kia hota hai btayein gein kisi roz
Kamal ki ghazal tum ko sunaein gein kisi roz,

Thi unki zid k mai jaun unko manane
Mujko yeh veham tha vo bulayein gein kisi roz,

kabi b maine to socha b nahi tha
Vo itna mere dil ko dukhaein gein kisi roz,

Har roz aieene sey yehi poochti hun mae
Kia rukh pe tabassum sajayein gein kisi roz?,

Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout ayein gein kisi roz,

Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakham e jigar tamaam log dekhein gein kisi roz.

Rung e Ishq kuch aur nikharta hai hijar mein, Ghazal Poetry, Sad Urdu Poetry, Romantic Urdu Poetry, Urdu Image Poetry, Urdu Ghazal Sms, Sad Image Poetry, Sad Love Story, Sad Poetry, Sad Sms,


Rung e Ishq kuch aur nikharta hai hijar mein
Har sung, paris numa banta hai hijr mein,

Youn tu har koi hai dav-e- daar- e -mohabbat
Yeah raaz magar aisa jo khulta hai hijr mein,

Gar pahaar sa hosla bhee rakhata ho koi
Bun ke khusbo ik din bikharta hai hijr mein,

Hum ne kabhi lout kay atay nahi daikha
Talash e yaar ko jo nikal parta hai hijr mein,

Har shub ankhoon mein guzar jati hai tanha
Har khawb chikna choor hota hai hijr mein,

Woh har aik se hans ke baat karta hai
Par chup ke duniya se roota hai hijr mein,

Ajab haal insaan ka mouj e firaq karti hai
Doob sakta hai na pa'ar utarta hai hijr mein,

Chatanoon ka seena cheer daita hai to kabhi
Kachay gharay pay chanab ute'rta hai hijr mein.

Heart Touching Sms, Heart Touching Poetry, Romantic Urdu Poetry, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry, Urdu Love Sms,


Mujeh Ye Zid nahi mere Gally ka Haar ho jao
Akhela Chor dena , tum jahaan Be-zaar ho jao,

Bhot Jaldi Samajh mein aany lagty ho Zamane ki
Bhot Aasaan ho, thory Bhot dushwaar ho jao,

Mulaqakto mein wafa ls liye hona zaroori hai
Ke tum ik Din Judaaee ke liye Tayaar ho jao,

Main Kesi Chal chalati Dhoop ke Sehra Se aya hoon
Bas ab Esa karo , Tum Saya-e-Dewaar ho jao,

Tumhary paas deny ky liye jhoti Tasali ho
Na Aay Esa Din , Tum isqadar Nadaar ho jao,

Tumhy Maloom ho jaye ga Kese Ranj Sehty hai
Meri itni Duaa hai Kaash tum Funkaar ho jao.

Urdu Love Sms, Romantic Urdu Poetry, best Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry, Romantic Poetry,


Tere qareeb rahon ya k door jaaon mei
Hah dil ka ek hi aalam tujh hi ko chaahon mein,

Mein jaanta hun wo rakhta hai chaahatain kitni
Magar ye baat use kis tarah btaaon mein,

Jo chup raha to samjhega badgumaan mujhe
Bura bhala hi sahi kuch to bol aaon mein,

Phir is k bad ta'alluq mein faasle honge
Mujhe sanbhaal k rakhna bichhaR na jaaon mein,

Muhabbaton ki parakh ka yehi to raasta hai
Teri talaash mein niklon tujhe na paaon mei.

Woh kisi or ka hoga to Qayamat ho gi, Urdu Ghazal, Urdu Heart Touching Ghazal, Urdu Poetry, New Urdu Peotry, Romantic But Sad Urdu Poetry,

Woh kisi or ka hoga to Qayamat ho gi
Phir kisi ko bhi kisi sa na mohobbet ho gi,

usy dekhay koi aacha nahi lagta mujh ko
Us se barh kr bhikoi or muhabbat ho gi,

Raat kal chaaand ko dekha to ye ehsaas hua
Woh akela hy usy meri zarurat ho gi,

Ay KHUDA us ko kisi Or ka honey na dena
Zindagi bhar mujhy phir khud say shikayat ho gi,

Woh Kisi Aur Ki Hogi To Inayat Hogi
Yu Muhabbat Ko Sakhawat Se Ukhuwat Hogi,

Usay Dekh Kar He Kuch Acha Nahin Lagta Mujh Ko
Kuch Dair Aur Yu Dikhi To Qayamat Hogi,

Raat Kal Chand Ko Dekha To Ye Ehsaas Hua
Safed Anday Mein Zardi Ki Milawat Hogi,

Aay KHUDA Woh Kisi Aur Ki Ho Na Paye
Warna Maut Her Mard Ki Wasiyat Hogi.

Romantic Poetry, Romantic Urdu Poetry, Romantic Pictures, Heart Touching Ghazal Poetry, Romantic Ghazal, Urdu Heart Touching Poetry, Romantic Sms, Urdu Romantic Sms,


Pyaar ka meetha Ehsaas dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu,

Teri chahtoon ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu,

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu,

Har pal mujhe hota hai bas tera hi Ehsaas
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu,

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu,

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu,

Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu,

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu,

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu,

Tasovur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu,

Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu,

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu,

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu,

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu,

Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu.