Pages

Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak, Mohsin Naqvi Poetry, Mohsin Naqvi,


Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,

Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,

Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,

Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,

Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak.

Shayed mera wajood hi suraj tha sheher mein


Shayed mera wajood hi suraj tha sheher mein
Main bujh geya to kitne gharon mein chiraag jaley.

Ijazat Ho Tu Kuch Araz karon ?


Ijazat Ho Tu Kuch Araz karon ?
Khail Chuke ho tu Dil Wapas Kardo....

Lagta Nahi Je Mera Ujra Dyar Main,


Bahadur Shah Zafar

Lagta Nahi Je Mera Ujra Dyar Main
Kis Ki Bni Hai Aalm-e Na Paydar Main,

Bulbul Ko Pasban Se Na Sayad Se Gila
Qismat Mai Qaid Thi Lakhi Fasl-e Bhar Ne,

Keh do In Hasraton Se Khain Aur Ja Bsain
Itni Jga Kahan Hai Dil-e Dagh Dar Main.

Bahadur Shah Zafar, Bahadur Shah Zafar Poetry, Urdu Poetry, Urdu Poetry By Bahadur Shah Zafar,


Utha De Parda Nahi Parda Main Utha Doon Ga
Taish Se Dil Ki Abi Arsh Tak Hila Doon Ga,

Na Hota Ishq Ka Maikash Agar Khabar Hoti
Ke Aik Jam Main Dono Jahan Bhla Doon Ga,

Jo Pocha Main Ne Lab Zakhm Tu Kahe Ga Kya
Kaha Ke Khanjar Qatal Ku Main Dua Doon Ga,

Ye De Kay Dam Muje Laya Tha Khench Josh Zahoor
Ke Chal Jahan Ka Tmasha Tuje Dikha Doon Ga,

Na Poch Muje Se Zafar Tu Meri Haqeqat Haal
Agar Kahon Ga Abi Tuj Ku Main Rula Doon Ga.

Wo Be Hjab Jo Pe Ke Kal Shrab Aya, Bahadur Shah Zafar, Bahadur Shah Zafar Poetry, Heart Touching Poetry by Bahadur Shah Zafar,


Bahadur Shah Zafar

Wo Be Hjab Jo Pe Ke Kal Shrab Aya
Agarcha Mast Tha Main, Par Muje Hijab Aya,

Idhar Kyal Mere Dil Main Zulf Ka Guzra
Udhar Wo Khata Hoa Dil Mai Pecho Tab Aya,

Khyal Kis Ka Smaya Hai Deeda-o Dil Main
Na Dil Ko Chain Muje Aur Na Shab Ku Khawab Aya.

Abhi to raat baqi hai ye dhal jaye to so jana, Picture Poetry, Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu New Poetry, Urdu Sms, Heart Touching Poetry,


Abhi to raat baqi hai ye dhal jaye to so jana
Ghari bhar ko dil-e -nadan sambhal jaye to so jana,

Ye jalte hont or ye neend mein doobi hui ankhen
Zara tehro mujhe bhi neend aa jaye to so jana,

Haseen ho tum tumhein kia gham tumhe to neend pyari hai
Hamara haal mat poocho k hum par raat bhaari hai,

Hamare sar pe Qayamat hai ye tal jaye to so jana
Abhi to raat baqi hai ye dhal jaye to so jana.

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thee, Bahadur Shah Zafar, Bahadur Shah Zafar Best Poetry, Urdu Poetry By Bahadur Shah Zafar,


Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thee
Jaisii Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisii tou Na thee,

Le gaya Chhiin Ke aaj kaun tera sabr-o-qarar
Beqarai tujhe ai dil kabhi aisii tou na thee,

Un kii aankhon ne khuda jaane kia kya jaadu
Ke tabiyat meri maa_il Kabhi aisi tou na thee,

chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin
jaise ab ho ga_ii qaatil kabhii aisii to na thii,

aks-e-rukh-e-yaar ne kis se hai tujh ko chamakayaa
taab mein maah-e-kaamil kabhi aisis tou na thee,

Kya sabab hai tu jo bigata hai zafar se har baar
Khuu teri huur-e-shamaail kabhi aisi tou na thee.


English Translation of ( Baat karni )

It was never so difficult for me to converse as it is now
Your party never was like this as it is now,

Who has usurped you patience and peace
You never were as restless as you are now,

Her eyes, my lord, cast what a spell on me
I never was as intoxicated as I am now,

Those killer eyes were always my enemy
but never were as fatal as it is now,

What has made the face of beloved bright?
Shine in you, O Moon, never was as it is now,

What is the reason that you are annoyed with ‘Zafar’
Your habit, O blazing fairy, never was like as it is now,

Hasil e zindagi hasraton k sewa kuch bhi nahi

Hasil e zindagi hasraton k sewa kuch bhi nahi 
Ye kkiya nahi, wo howa nahi, ye mila nahi, wo raha nahi.

Kis dasht ki hawa thi badan raak kar gai,

Kis dasht ki hawa thi badan raak kar gai
Kaisi thi dhoop pairr ka saya badal gaya 
Meri taraf he lott k aai meri sada
Es shehar main har apna paraya badal gaya.

Bahadur Shah Zafar, Bahadur Shah Zafar Poetry, Bahadur Shah Zafar Best Poetry, Urdu Poetry By Bahadur Shah Zafar,

Lagta nahi hay dil mera ujrray deyar main
Kis ki bani hay alam e napaidar main
Keh do in hasraton se kahi or ja basin
Itni jaga kaha hay dil e daghdar main
Umar daraz mang kar layee thay chaar din
do (2) aarzo main kat gaye do (2) intezar main
Kanton ko mat nikal chaman se ae baghban
ye bhi golon k sath palay hay bahar main
Bulbul se kkoi shikwa na sayad se gila
Qismat main qaid leki thi fasl e bahar main
Kitna hay badnaseeb ZAFAR dafan k liye
Do (2) gaz zamin bhi na mili koi e yaar main.

BAHADOR SHAH ZAFAR

Punjabi Poetry, Punjabi Shairy, Punjabi Pictures Poetry, Punjabi Sms, Punjabi Best Poetry, Punjabi Poetry Collection,

 Punjabi Poetry, Punjabi Shairy, Punjabi Pictures Poetry, Punjabi Sms, 
Punjabi Best Poetry, Punjabi Poetry Collection,
 Punjabi Poetry, Punjabi Shairy, Punjabi Pictures Poetry, Punjabi Sms, 
Punjabi Best Poetry, Punjabi Poetry Collection,
 Punjabi Poetry, Punjabi Shairy, Punjabi Pictures Poetry, Punjabi Sms, 
Punjabi Best Poetry, Punjabi Poetry Collection,
 Punjabi Poetry, Punjabi Shairy, Punjabi Pictures Poetry, Punjabi Sms, 
Punjabi Best Poetry, Punjabi Poetry Collection,
Punjabi Poetry, Punjabi Shairy, Punjabi Pictures Poetry, Punjabi Sms, 
Punjabi Best Poetry, Punjabi Poetry Collection,

Allama Iqbal, Allama Iqbal Poetry, Allama Iqbal Pictures Poetry, Poetry by Allama Iqbal, Iqbal Poetry, Poetry Collection of Dr Allama Iqbal, Iqbal Poetry Collection,

Dil Ki Azaadi Shehenshahi, Shakam Saman Mout
Faisala Tera Tere Hathon Main Hay, Dil ya Shakam!






Allama Iqbal, Allama Iqbal Poetry, Allama Iqbal Pictures Poetry, Poetry by Allama Iqbal, 
Iqbal Poetry, Poetry Collection of Dr Allama Iqbal, Iqbal Poetry Collection, 

Ruk dey mula jaan shii, Ghani Khan, Ghani Khan Poetry, Best Pashto Poetry, Pashto Ghazal, Pashto Ghazal Sms, Heart Touching Poetry,


Ruk dey mula jaan shii masaley da meeney na cheerri
Keney pa member ao bs khabarey da halwa kavi,

Gora kana staa da khpaledo da para sa kavi
Staa lewaney hara wraz zyaarat da peer baba kavi,

Waya Ghani khana tata kala daryaadegama
Mata kho zama zargey mudaam khabarey stAa kavi.

Heart Touching Poetry, Heart Touching Sms, Urdu Love Sms, Urdu Poetry,


Pyar Usko Milta Hai Jiski Taqdeer Hoti Hai
Bahut Kam Hatho Me Ye Laqeer Hoti Hai,

Kabhi Judaa Naa Ho Pyaar Kisi Ka
Kasam Khuda Ki Bahut Taklif Hoti Hai.

Sad Urdu Poetry, Urdu Poetry, Urdu Sad Sms, Urdu Sms, Heart Touching Poetry, Heart Touching Sms,



Dur jakar bhi hum dur jaa na sakenge
Kitna royege hum bata na sakenge,

Gam iska nahi hai ki aap mil na sake
Dard is baat ka hoga ki hum aapko bhula na sakege.

Na jaane kya hai ilaaj is kambakhat ishq ka


Na jaane kya hai ilaaj is kambakhat ishq ka  
Sare haqeem mar gye is marz ki dawa karte karte

Haqeeqat Hai Yaqeen Kar Lo


Haqeeqat Hai Yaqeen Kar Lo
Main Us Ko Bhool Kar Khush Hon,

Mohabbat Mar Chuki Ab To
Main Us Ko Bhool Kar Khush Hon,

Badalti Rut Ki Wajah Se Tabiat Kuch Bojhal Si Hai
Youn Mera Haal Mat Poocho,

Main Us Ko Bhool Kar khush Hon
Mere Lehjay Par Mat Chonko,

Meri Aankhon Mein Mat Jhanko
Youn Hairat Se Na Dekho Main,

Us Ko Bhool Kar Khush Hon
Tumhain Kia Weham Hai,

Kion Rat Bhar Milne Nahi Aati
Aaye Meri Neend Ki Pario Mein,

Us Ko Bhool Kar Khush Hon
Bhala Kion Roz Banhain,

Wahan Kion Mujh Se Milne Aati Hai
Tum Us Ki Yad Se Keh Do,

Main Us Ko Bhool Kar Khush Hon
Udasi Sare Ghar Mein Phailti Jati Hai Gham Ban Kar,

Dar-o-Deewar Pe Likh Do
Main Us Ko Bhool Kar Khush Hon.

Pooch ankhon se Kiya kitna intezar tera


Pooch ankhon se Kiya kitna intezar tera
Ban k dharkan dil mein basa piyar tera,

Apni palkon ki Chaaon mein saja le mujh ko
Maar dale na Qasam se ye khumar tera,

Mera mehboob khila hai aaj pholon ki tarah
Karon shukriya main kese aye bahar tera,

Rukh_e_Mehtab se zara zulf hata kar to dekho
Thehra hai aaj waqt bhi karne deedar tera,

Yunhi saya ban k zindagi bhar Sang chalna
Mujhe sari duniya Se ziyada hai Aitbaar tera.

Abhi to raat baqi hai ye dhal jaye to so jana


Abhi to raat baqi hai ye dhal jaye to so jana
Ghari bhar ko dil-e -nadan sambhal jaye to so jana,

Ye jalte hont or ye neend mein doobi hui ankhen
Zara tehro mujhe bhi neend aa jaye to so jana,

Haseen ho tum tumhein kia gham tumhe to neend pyari hai
Hamara haal mat poocho k hum par raat bhaari hai,

Hamare sar pe Qayamat hai ye tal jaye to so jana
Abhi to raat baqi hai ye dhal jaye to so jana.

Staa azmat ta mey salaam dey pa maa graana baba,


Staa azmat ta mey salaam dey pa maa graana baba
Staa muhabat ta mey salaam dey pa maa graana baba,

Taa na garmey ta na sahar ao na makhaam ta gorey
Tal khpal bachii la da khwaraak chrta samaan gorey,

Staa da seneey na shama zaar wa pa maa graana baba
Chey klaka karey dey har gham ta tal zama da baba,

Sanga krey toora girra speena zama khoga baba
Maa da warookii na zalmey krey zama khoga baba,

Bia dey pa zrra armaanona da damey paidaa shii
Der dey sochona ao fikroona waswasey paida shii,

Bia mey bebey ta wey chey os ba lag dama shama zaa
Zama oogey sa barabar mey da bachhi oogaa shwa,

Chey kala zwaan shum staa kholos wafa mey hera krala
Os wayam ma raaza hamzolo ta mey graana baba,

Naafarmaani mey dumra okraa staa mey zrra ochawo
Staa armaanono ta da khpal laas na mey Oor wachawo,

Chey bia pa laar shom taabidaar da staa graana baba
Wakht raana teer woo lewaney shom pa ma graana baba,

Bia chaa zalim rata yao wraz kralo awaaz wailey pa manda raasha
Staa da baba warey warey salgey raghallii raasha,

Da khpo mey zmaka charta laara ado poh na shoma
Chey mey raamanda pa dewaal krra ado poh na shoma,

Maa wailey raalama baba daa ta maa chaata predey
Zaa dey bachey yam lewaney yam ta maa chaata predey,

Baba mey daasey gillamand woo chey ee hess na wailey
Da khpalo sakhto hagha qeseey ee pa salgo kawaley,

Maa wailey khair ba shi baba za dey walaar yam sar ta
Allah ba khair krey Rabb ba khair krey tata,

Baba mey ghaley shaan muskey akhirri salgo key daa ee owey
Der yama starey da dunyaa na zama khog bacheyaa
Nan mey lag pregda pa araam chey sam uda sham zama khog bacheyaa,

Maa wailey daghalta taala shum kharr sailaab yawrama
Zaa mey malgaro da baba haghey sawda yawrama.

Khafa Hy Mujhse Mujhe Pareshan Krta Hy


Khafa Hy Mujhse Mujhe Pareshan Krta Hy
Ajeb Shakhs Hy Khud Se Bad-Guman Krta Hy,

Na Meri Parwa Hy Na Mery Haal Ki Kuch Khabr
Salook Wo Karne Laga Hy Jaise koi Anjaan Krta Hy,

Wo Mery Zikar Pe Uktana
Mujhse Katraa K Guzar Jana,

Aisa Lagta Hy Jaise Wo Dori Ka Saman Krta Hy
Pehle To Mujhse Milna He Aham Tha Jis K Liye,

Ab Milta B Hy To Jaise Ehsan Krta Hy
Taluq Torna Hy To Aa K Keh Dy Mjhse
Wo Aisi Baten Ghiron Se Q Bayan Krta Hai.

Mumkina faislon main aik hijr ka faisla bhe tha


Mumkina faislon main aik hijr ka faisla bhe tha
hm ny to aik bat ke usny kamal kr deya.

Wo Mujh Se Kahen Berh K Mosibat mein tha Mohsin


Wo Mujh Se Kahen Berh K Mosibat mein tha Mohsin

Ro Ro K Magr Us ka dilaasa mujhy dyna.

Daikh hum dewano ko na deen k na dunya k

Daikh hum dewano ko na deen k na dunya k
Ae Ishq tu shaitan se bhi zyada fankar nikla.

Reh na pao ge kabhi bhula kar dekh lo


Reh na pao ge kabhi bhula kar dekh lo
Yakeen nahi aata to aazma kar dekh lo,

Har jaga mehsoos hogi kami humari
Apni mehfil ko kitna bhi saja kar dekh lo.

Aye maut tujhe gale lagana chahta hun


Aye maut tujhe gale lagana chahta hun
Kitni wafa hai tujhme aazmana chahta hun,

Logon ne bahut rulaya hai mujhe
Tere sath mile to logo ko rulana chahta hun.

Tumhare bin nahi rehna mujhe TUMSE mohabbat hai


Tumhare bin nahi rehna mujhe TUMSE mohabbat hai
Hai TUMSE bas yahi kehna mujhe TUMSE mohabbat hai,

Zaban to keh nahi sakti TUMHAIN ehsas to hoga
Meri Aankhon ko parh lena mujhe TUMSE mohabbat hai,

TUMHARE naam kar di hai ye pori zindagi apni
Bhalay hi dukh paray sehna mujhe TUMSE mohabbat hai,

Hamain ehsas hai TUMKO bhi humse pyar hai lekin
Ye mere saamnay kehna mujhe TUMSE mohabbat.

Mohabbat Hum Se Karni Hai


Mohabbat Hum Se Karni Hai
Tu Phir Wada Nahi Karna,

Ye Wade Hum Ne Dekhen Hain
Ke Aksar Toot Jate Hain,

Mohabbat Hum Se Karni Hai Tu
Phir Zid Bhi Nahi Karna,

Ye Zid Bhi Hum Ne Dekhi Hai
Ke Sathi Choot Jate Hain,

Mohabbat Hum Se Karni Hai
Tu Phir Tohfa Nahi Dena,

Ye Tohfay Hum Ne Dekhen Hain
Bohut Majboor Karte Hain,

Mohabbat Hum Se Karni Hai Tu
Phir Shikwa Nahi Karna,

Ye Shikwy Hum Ne Dekhen Hain
Dilon Ko Door Karte Hain.

Ajab hain uljhnen meri ajab tarz-e-zindgi hai


Ajab hain uljhnen meri ajab tarz-e-zindgi hai
Kbhi gham hy apna saya kbhi be-naam si khushi hai,

Kis pe karoon bharosa? Kis se karoon me shikwa
Sab naam ke hain rishte barf chehron pe jami hai,

Chaha tu hai sbhi ne par apny apny dhang se
Jana nhi kisi ne meri zat ki jo kami hai,

Mein ne to Jaan-o-Dil se nibhay sarey rishte
Iska sila to dekho ABID ankhon mein bas nami hai,

Khud ko bana lo sang-dil yehi sekha hy is chaman se
Yehi dastan-e-zindgi hy dunya lafzon se bas saji hai.

Dard ko bhi ab dard hone laga hy



Dard ko bhi ab dard hone laga hy
Dil cinay main chup ky rony laga hy,

Kabi roye na thy hum dard ko dekh kar
Ab dard hum ko deakh kar roney laga hy.

Pyaar Me Mout Se Darta Kon Hai


Pyaar Me Mout Se Darta Kon Hai
Pyaar To Ho Jaata Hai Karta Kon Hai,

Hum To Karde Pyaar Me Jaan Kurbaan
Par Pata To Chale Ki Humse Pyaar Karta Kon Hai.

Main Aadat Hun Uski


Main Aadat Hun Uski
Woh Zarurat Hai Meri

Main Farmayish Hun Uski
Woh Ibaadat Hai Meri

Itni Aasani Se Kaise
Nikal Du Usey Apne Dil Se

Main Khwaab Hun Uska
Woh Haqeeqat Hai Meri.

Duniya Ko Haqiqat Meri Pata Kuch Bhi Nahi


Duniya Ko Haqiqat Meri Pata Kuch Bhi Nahi
Ilzam Hzaro Hai Or Khata Kuch Bhi Nahi,

Dil Mein Kya Hai Ye Padh Na Sakoge
Sare Panne Bhare Huye Hai Or Likha Kuch Bhi Nahi.

Da Azgho Sara Dosti Na Keegi Waaora


Da Azgho Sara Dosti Na Keegi Waaora
Da Gulaab Sara Badi Na Keegi Waaora,

Che Khpal Yaar Sara Wafa Na Kri Ghaddar Vi
Daasy Yaar Sara Yaari Na Keegi Waaora,

Che Aashiq She Da Duniya Da Kaara Ozi
AaShiqi Awo Mazduri Na Keegi Waaora,

Muhabbat Pa Menatono Na Joreegi
Muhabbat Awo Majburi Na Keegi Waaora.

Khaas Da Zrra Da Meenay Pa Chapoo Ba Darta Waayam


Khaas Da Zrra Da Meenay Pa Chapoo Ba Darta Waayam
Daastaan Da Ishq Loyi Dey, Pa Landoo Ba Darta Waayam,

Daa Zrra Naadaan Pa Taa Mayen, Zarray Zarray Dey
Nan Izhar Pa Khula Kawom, Pa Salgoo Ba Darta Waayam,

Da Leechoo Dakk Laasuna Ye Ochat Kra, Makh Ye Patt Kro
Daa Kalay Dey Khula Banda Ka, Pa Ishaaro Ba Darta Waayam,

Pukhto Yawo Drund Zubaan, Awo Pukhtaana Draana Draana Di
Yawo So Khuwagay Ghazalay Da Pukhto Ba Darta Waayam,

Staa Da Dara Che Nan Za Be-Nawaa Raaghlam
Ay Ali Paighla Pukhtana Yama, Nu Sa Ba Darta Waayama.

Tujh Se Chand Pal Jo Bichhroon To Ghabra Jata Hai Dil


Tujh Se Chand Pal Jo Bichhroon To Ghabra Jata Hai Dil
Masoom Si Ankhon Ke Liye Azaab Ban Jata Hai Dil,

Ae Mere Chand Kabi Nikal Aao Hijar Ki Raaton Main
Teri Khatir To Har Sham Se Pahle Doob Jata Hai Dil,

Tere Sath Kaisa Rishta Hai Mujhe Khud Bhi Maloom Nahi
Bus Tera Naam Koi Or Le Itni Si Baat Par Toot Jata Hai Dil,

Maine Suna Tha Ke Ishq Ik Samundar Hai Lekin
Insaan Tadap Tadap Ke Marta Hai Or Pyaasa Rah Jata Hai Dil.

Roz Taaron Ki Numaish Me Khalal Padta Hai


Roz Taaron Ki Numaish Me Khalal Padta Hai
Chand Pagal Hai Andhere Mein Nikal Padta Hai,

Aik Deewana Musafir Hai Meri Ankhon Mein
Waqt Be-waqt Thehar Jata Hai Chal Padta Hai,

Apni Tabeer Ke Chakkar Mein Mera Jagta Khawab
Roz Suraj Ki Tarha Ghar Se Nikal Padta Hai,

Roz Pathar Ki Himayat Mein Ghazal Likhte Hain
Roz Sheeshon Se Koi Kam Nikal Padta Hai,

Us Ki Yaad Aai Hai Saanso Zara Ahista Chalo
Dhadkano Se Bhi Yaadon Mein Khalal Padta Hai.