Pages

Ab Ke Youn Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti He


Ab Ke Youn Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti He
Rang Phooty, Kaheen Khushbu Ki Rasan Tooti He,

Maut Aai He k Taskeen Ki Sa'at Aai
Saans Tooti He k Sadiyon Ki Thakan Tooti He,

Seena-e-Gul Jahan Nikhat Bhi Giran Thehri Thi
Teer Ban Kar Wahan Sooraj Ki Kiran Tooti He,

Dil Shikasta To Kai Baar Huye Thay Lekin
Ab k Youn He k Har Ek Shakh-e-Badan Tooti He,

Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti He,

Aik Sho'la k Tah-e-Khaima-e-Jaan Lapka Tha
Aik Bijli k Sar-e-Sehan-e-Chaman Tooti He,

Silsilah Tujhse Bicharnay Pe Kahan Khatm Huwa
Ek Zamanay Se Rah-o-Rasm-e-Kuhan Tooti He,

Mery Yaaron k Tabassum Ki Kiran Maqtal Hain
Nauk-e-Naizah Ki Tarah Zair-e-Kafan Tooti He,

Raizah Raizah Me Bikharta Gaya Har Su Mohsin
Sheeshah Sheeshah Meri Sangeeni-e-Fan Tooti He.

No comments:

Post a Comment