Pages

Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan


Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan
Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana Kesa Lagta Hai,

Kismat Main Nahin Phir Bhi Us Ko Chate Hai
Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta Hai,

Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye Hai
Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai,

Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil
Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai,

Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum
Zakham Chupa Ker Bhi Muskarana Kesa Lagta Hai,

Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin
Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai,

Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand
Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai,

Kahayei Hai Dhoke Mohabaat Main Itne Ke
Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai,

Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi
Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai,

Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke Hai Kab Ke
Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai.

No comments:

Post a Comment