Pages

Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain


Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
Rukh hawaaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain,

Pehle har cheez thi apni magar ab lagta hai
Apne hi ghar mein kisi doosre ghar ke hum hain,

Waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon tak
Kisko maloom kahan ke hain kidhar ke hum hain,

Chalte rehte hain ki chalna hai musafir ka naseeb
Sochte rehte hain ki kis raahguzar ke hum hain,

Gintiyon mein hi giney jaate hain har daur mein hum faysal
Har qalamkaar ki benaam khabar ke hum hain.




Sad Urdu Poetry, Urdu Ghazal, Urdu Poetry, 
Sad Poetry, Sad Sms,

No comments:

Post a Comment