Dukh ki lahar ne chhera hoga
Yad ne kankar phenka hoga,
Aaj to mera Dil kahta hai
Tu is waqt akela hoga,
Mere chume hue haathon se
Auron ko khat likhta hoga,
Bheeg chalin ab raat ki palkein
Tu ab thak kar soya hoga,
Shahr k khali asteshan par
Koi musafir utra hoga,
Aangan mein phir chiriyaan bolein
Tu ab so kar utha hoga,
Yadon ki jalti shabnam se
Phool sa mukhara dhoya hoga,
Moti jaisi shaql bana kar
Aaine ko tak-ta hoga,
Shaam hui ab Tu bhi shayd
Apne ghar ko lauta hoga,
Neeli dhundhali khamoshi mein
Taaron ki dhun sunta hoga,
Mera sathii shaam ka Taara
Tujh se aankh milaata hoga,
Shaam k chalte hath ne tujh ko
Mera salam to bheja hoga,
Pyasi kurlati kunjon ne
Mera dukh to sunaya hoga,
Main to aaj bohat roya hon
Tu bhi shayd roya hoga,
Nasir tera meet purana
Tujh ko Yad to aata hoga.
No comments:
Post a Comment