Tum jo hansti ho to pholon ki ada lagti ho
Or chalti ho to ik bad-e-saba lagti ho,
Dono hathon mein chupa laiti ho apna chehra
Mashriqi hoor ho dulhan ki haya lagti ho,
Kuch na kehna mere kandhe pe jhuka kr sar ko
Kitni masom ho tasvir e wafa lagti ho,
Bat krti ho to sagar se khanak jate hain
Leher ka geet ho koyal ki sada lagti ho,
Kis taraf jaogi zulfon k ye badal le kr
Aj machli huvi sawan ki ghata lagti ho,
Tm jise daikh lo pine ki zarurat kya hai
Zindagi bhar jo rahe aisa nasha lagti ho,
Mein ne mehsos kiya tm se do baten kr k
Tm zamane mein zamane se juda lagti ho.
No comments:
Post a Comment