Pages

Hum log zameen kay rehnay walay

Hum log zameen kay rehnay walay
Phirty rahay asmaan sambhalay,

Aay mjhse khitab karny walay
chehry se naqaab to hata lay,

Sahir se bicharr gaye musafir
Darya main hain kashtiyon k halay,

Ik bheed hai dostoon ki laikin
Tanhai ny bun diye hain jalay,

Hum mujrim e raftaan e shab thy
Tasdeeq na kar saky ujalay,

Duniya tjhy chortay hain hum bhi
Ja tu bhi ab apna raasta lay,

Soraj hai zameen pe girnay wala
Mumkin ho to saye ko bacha lay,

Mushkil hai Saleem ghar basana
Diwar ka kya hai jo utha lay.

No comments:

Post a Comment