Pages

Mere wajood main sachai meri maan ki hai

Mere wajood main sachai meri maan ki hai
Wa garna shair ibadat to qarz e jaan ki hai,

Safr main lamha e awargi bhi shart sahi
Thehr gaye to alamat ye imtehaan ki hai,

Samandaroon main jazeeray panah detay hain
Magar ye khaak kisi arz e be amaan ki hai,

Bala ka habs ragoon main utr gaya ab k
Na janay zehr ghuli ye hawa kahan ki hai,

Suna hai ab nahin utray ga hum pe koi azaab
Zameen pe aakhri tuhmat ye asmaan ki hai,

Na tu mila hai, na khud hi se nibh saki apni
To phr ye umr kahan hum ne raiyegaan ki hai,

Khulay dareecho main yadain saji huwi hain Saleem
Bichar k usse ye surat qarar e jaan ki hai.

No comments:

Post a Comment