Pages

Mundair per chiragh rakh diye hain khud jalaye ga

Mundair per chiragh rakh diye hain khud jalaye ga
Woh aanay wala shakhs janay kis taraf se aaye ga,

To taye howa na, is gali k more tak to sath hain
Per is gali k more tak bhi ik zamana aaye ga,

Udaas parbatoon se sardiyon ki barf aa mili
Magr ye rabt dhoop ki kiran se toot jaye ga,

Jo log hijr ki musafaton main thak k so gaye
Khyal e mousam e wisaal hi unhain jagaye ga,

Wo ajnabi to shehr chor kar kabhi ka jaa chuka
Kitab e dil ki roo-numai main kisay bulaye ga,

Tu apnay harf us k naam kar k khud ko bhol ja
Ye ehd e be-hunr hai kis ko mou'ajza dikhaye ga,

Sivaye us k apni teergi main aap jal utthain
Saleem shab zadoon ko kon roshni dikhaye ga.

No comments:

Post a Comment