Kis Zalim Ada Se Wo Apna Bister Chorti Ho Gi
Khuli Zulfein Band Hont Uljhi Sansain Or Ghazab Ki Angraiyan
Nazuk Mizaaj Hai Woh Pari Kuch Is Qadar
Payal Jo Pehni Paon Mein To Cham Cham Se Darr Gai
Mulayam Haath Kham-e-Zulf, Ada-e-Nain Aur Hont
Qatal Baqi Hai Auzaar To Sab Poory Hain
Teri Khoobsoorti Ko Mere Alfaz Chu Nahi Sakte
Hajoom-e-Husn Mein Tum Nawab Lagte Ho
Aainy Mein Wo Dekh Rahe The Bahar-e-Husn
Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Reh Gaye
Poocha Jo Un Se Chaand Nikalta Hai Kis Tarhan
Zulfon Ko Rukh Pe Daal Ke Jhatka Diya Ke Yun
Hazaaron Masley Hain Jo Mujhe Masroof Rakhte Hain
Mager Tum Anmool Itne Ho Ke Phir Bhi Yaad Aate Ho
Kitna nadaan hai tu waqas logo se umeed e wafa rakhta hai
Tera tu shareek e hayat tera saya bhi tera sath chor jata hai
Tamam Umar Mujhe Tootna Bikharna Tha Faraz
Wo Meharban Bhi Kahan Tak Samait'ta Mujhe.
No comments:
Post a Comment