Tumhaari yaad kay jab zakham bharney lagtey hain
Kisi bahaaney tumko yaad karney lagtey hain,
Hadees-e-yaar kay unwaan nikharney lagtey hain
Toh hareem mai gaisoo sanwarney lagtey hain,
Her ajnabi humein mehram dikhaai daita hai
Jo ab bhi teri galli say guzarney lagtey hain,
Saba say kartey hain ghurbat naseeb zikr-e-watan
Toh chashm-e-subah mai ansoo ubharrney lagtey hain,
Wo jab bhi kartey hain us nuqta lab ki bukhiya giri
Fiza mai aur bhi naghmey bikharney lagtey hain,
Dar-e-qafas pay andheray ki mohor lagti hai
Toh Faiz dil mai sitaarey utarney lagtey hain.

No comments:
Post a Comment