Baris Poetry


Is qadar musalsal thin shidaten judai ki
Aj pahali bar main ne us sa bevafai ki

Varana ab talak yun tha khvahishon ki barish main
Ya to tut kar roya ya gazalsarai ki

Taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat main
Aj un se majburan taza ashanai ki

Ho chala tha jab mujh ko ikhtilaf apne se
Tune kis ghari zalim meri hamnavai ki

Tanz-o-tana-o-tohmat sab hunar hain naseh k
Ap se koi puche ham ne kya burai ki

Phir qafas main shor utha qaidiyon ka aur sayyad
Dekhrna ura dega phir khabar rihai ki.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...