Kamal-e-zabt ko may khud bhi azmaaun gi
May apne haath se us ki dulhan sajaowngi,
Sapurd ker k usay chandani k haato may,
May apne ghar k andheroo ko loot aaowngi,
Baddan k qarb ko wo b na samaj payee ga,
Main dil may roou gi, aankhon may muskuraowngi,
Wo kya gaya rafaqat k saray lutf gaye,
May kis se rutth sakongikisay manaowngi,
Ab oska fan tu kisi or se ho mansoob,
May kis ki nazam akele may gungunaowngi,
Wo aik rishta e benaam b nahi lakin,
May ab b os ke eshaaro per sar jhukaaown gi,
Samaa'ato k ghanay janglo ki sansain hay,
May ab kabi teri aawaz na sun paaowngi.
No comments:
Post a Comment