Zulf-o-Rukh K Saaey Mein Zindagi Guzari Hai
Dhoop Bhi Hamri Hai Chhaou’n Bhi Hamri Hai,
Gham Gusaar Chehron Par Aitbaar Mat Karna
Shehar Mein Siyasat K Dost Bhi Shikaari Hai,
Morr Lainey Wali Hai Zindagi Koi Shayad
Ab K Phir Hawaoun Mein Aik Beqarari Hai,
Haal Khoo'n Mein Dooba Hai Kal Na Janey Kia Hoga
Ab Yeh Khof-e-Mustaqbil Zehan Zehan Taari Hai,
Meray He Buzargo’n Ne Sar Bulandiyan Bakhshi’n
Meray He Qabeelay Par Mashq-e-Sang-e-Baari Hai,
Ik Ajeeb Thandak Hai Us K Narm Lehjay Mein
Lafz Lafz Shabnum Hai Baat Baat Piyari Hai,
Kuch Tou Paein Gay Us Ki Qurbaton Ka Khumyaza’h
Dil Tou Ho Chukey Tukrrey Ab Saro’n Ki Baari Hai,
Baap Bojh Dhota Tha Kia Jahaiz De Paata
Iss Liye Woh Shehzadi Aaj Tak Kanwari Hai,
Keh Do Meer-o-Galib Se Hum Bhi She’ar Kehtay Hein
Woh Sadi Tumhari Thi Yeh Sadi Hamari Hai,
Karbala Nahi Lekin Jhoot Aur Sadaqat Mein
Kal Bhi Jung Jaari Thi Aaj Bhi Jung Jaari Hai,
Gaao’n Mein Mohabbat Ki Rasm Hai Abhi Manzar
Shehar Mein Hamarey Tou Jo Bhi Hai Madaari Hai.
No comments:
Post a Comment