Showing posts with label Dua Sms. Show all posts
Showing posts with label Dua Sms. Show all posts

Koi Roota hoa Chehra Hansaa dena Ibadat hay...

Koi Roota hoa Chehra Hansaa dena Ibadat hay
Dil-e-Ghamgeen ki Dharas bandha dena Ibadat hay

Kisi Bay-aasraa Insaan ke tootay Gharonday mai
Khaloos Dil se ek Pathar laga dena Ibadat hay,

Saa'dat Hajj-o-Umraa ki Bajaa apni jagha lekin
Koi Ujhraa hua Aangan basa dena Ibadat hay,

Jo Karra Waqat aaya hai to us mai AIK ho jao
Hasad ki Aag ke Sholay Bujha dena Ibadat hay

DUA Maangoo KHUDAA se ke Chaman phir Bahaar aye
Museebat mai DUA lena Dua dena "Ibadat hay.

Khula me swal ta na jorregi loya KHUDAYA, Ghani Khan Poetry.

Khula me swal ta na jorregi loya KHUDAYA
Kam che kha v ta ye mala be dua raa
Ta zama da mohtaajai na kha khabar ye
Za ba sa wayama che da ra ka aow da raa.

Teri "BARGAH" main aay "KHUDA"

Teri "BARGAH" main aay "KHUDA"
Junhi "SAR" ko main ne "JHUKA" diya,

Usi "WAQT" teri "KHUDAI" ne mujhay
"PASTIYON" sey "UTHA" diya,

Main "ZALEEL" tha "HAQEER" tha
Tere "DAR" ka aik "FAQEER" tha,

Tu nay aik he "SAJDAY: k "BADLEY" main
Mujhay kya se kya "BANA" diya,

Rag-e-jan sey bhi tu "QAREEB" hay
Tu he "LIKHTA" sab k "NASEEB" hay,

Jisay "CHAHA" pal main "UTHA" diya
Jisay "CHAHA" pal main "GIRRA" diya

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...