Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts
Showing posts with label Parveen Shakir. Show all posts

Parveen Shakir Poetry, Parveen Shakir Romantic Poetry,


Nazar jab us se milti thi
Men khud ko bhool jata tha
Bas ik dharrkan dharrakti thi
Men DIL ko bhool jata tha
Ussay milney se pehley men boht sajta sanwrta tha.
Magar jab wo sanwarti thi
Men khud ko bhool jata tha
Men aksar kitabon pr
Usi ka nam likhta tha
Magar kuch wo jo likhti thi
Men likhna bhol jata tha
Men aksar hi ye kehta tha
Men tum se pyar krta hon
Mgr jab wo ye kehti thi
Me dunya bhol jata tha.

Bura Na Man Agr Tujh Ko Pyar Krti Hon, (Parveen Shakir), Urdu Poetry By Parveen shakir,


Bura Na Man Agr Tujh Ko Pyar Krti Hon
Gunah Kon Sa Aisa Main Yar Krti Hon,

Meri Khataon Main Meri Samjh Ka Nhi Koi Dakhl
Main Jo Bhi Krti Hon Be-Ikhtyar Krti Hon,

Tu Ktne Pyar K Qabil Hai Kya Khabar Mujh Ko
Main To Jitna B Mumkin Hai Pyar Krti Hon,

Woh Ghair Ho Ya Sajan Koi B Ho Mgr Us Say
Main Tera Tazkra Dewana War Krti Hun,

KHUDA Ki Duniya Sy Itni Mohabt Nhi Hai Shayed
KHUDA K Ek Bandy Ko Main "Jitna Pyar Krti Hon.

Parveen Shakir Poetry,

Rait he rait hay es dil main musafir mere 
Aur ye sehra tera naqsh e kaf e paa chahta hay.

Chehra mera tha nigahen us ki, Parveen Shakir Poetry,

Chehra mera tha nigahen us ki
Khamushi main bhi wo baten us ki,

Mere chehre pe gazal likhti gain
Sher kahti hui ankhen us ki,

Shokh lamhon ka pata dene lagin
Tez hoti hui sansen us ki,

Aise mausam bhi guzare ham ne
Subhen jab apni thin shamain us ki,

Dhyan main us k ye alam tha kabhi
Ankh mahtab ki yaden us ki,

Faisala mauj-e-hawa ne likkha
Andhiyan meri baharen us ki,

Nind is soch se tuti aksar
Kis tarah katati hain raten us ki,

Dur rah kar bhi sada rahti hai
Mujh ko thame hue bahen us ki.

Urdu Poetry, Urdu Sad Poetry, Urdu Sam, Allama Iqbal Poetry,

Main faqeeron se he karta hotijarat aksar
.
Jo aik paisay main bhi lakhon ki dua dete hay.

                 (Allama Iqbal)

Barish...

Ye barish khobsurat hay
Ik arsay baad
Meri rooh may
Seerab honay ki tammana jag utti hay
Magar Baadal k rastay may
Bhoht pairrh aatay hay
May phal bhar k liye shadab hon
Aur apni baqi umer
Phir sehra may katto ?
May apni pyaas per razi rahongi
Meray aansou mere dil ki kafala k liye kafi rahiengay.

Parveen Shakir

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...