Mohabbat khushbu aur wafa thi kya waja thi...

Mohabbat khushbu aur wafa thi kya waja thi ?
Kabhi ye zindagi dast-e-hina thi kya waja thi ?
Ye khawahish  thi k uski maang me bharta sitaray
Magar hathon main zanjeer-eanaa thi kya waja thi ?
Mere dushman ki bahon ka sahara dhundti thi ?
Mujh he se zindagi meri khafa thi kya waja thi ?
Us k khad-o-khaal b aam se lehja b saada
Bhari mehfil se magar wo juda thi kya waja thi ?
Kyon mujhko dar pe laya gaya tha soch ae dil
Teri ghalati thi ya meri khata thi kya waja thi ?

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...