Ajab Din Thay Mohabbat ke, Urdu Poetry, Urdu Sad Poetry, Sad Poetry,

Ajab Din Thay Mohabbat ke
Ajab mousam thay chahat ke
Kabhi gar yad aa jayein tu palkon
par sitary jhilmilaty hain

Kisi ki yaad mein raaton ko
aksar jagna mamool tha apna
Kabhi gar neend aa jati tu
hum yeh soch lete thay

Abhi tu vo hamary wasty
roya nahi hoga
Abhi soya nahi hoga!
Abhi hum b nahi rote
Abhi hum b nahi sote

So phir hum jagte aur usko yaad karty thay
Akaile baith kar veeran dil abad karte thay
Hamare samney taaron k jhurmat
mein akaila chand hota tha

Jo uske husn k agay bohat hi mand hota tha
Falak par raqs karte an gint sitaron ko
Jo hum tarteeb dete thay
To uska naam banta tha

Hum agle roz jab milte tu guzri raat ki
har be kali ka zikr karte thay
Har ik qissa sunate thay
Kahan,kis waqt,kis tarah se
dil dharka batate thay
Main jab kehta k "jaana"Main
aaj raat ik pal b nahi soya
To wo khamosh rehti thi
Par uski neend mein doobi do jheel si aankhein
Achanak bol uthtii thin
Main jab usko batata tha
K raat ko roshan sitaron mein tumhara naam dekha hay

Tu wo kehti
Nahi tum jhoot kehty ho
Sitare main ne dekhy thay
Aur un roshan sitaron mein tumhara naam likha tha
Ajab masoom larki thi
Mujhay kehti thi
Mujhay lagta hay k ab apny sitare mil hi jayein ge

Magar usko khabar kya thi
Kinare mil nahi sakte
Mohabbat ki kahani mein
Mohabbat karne walon ke
Sitare mil nahi saktey

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...