Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay, Urdu Poetry,

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay
Hum Bhi chup chaap Phira kartey yhay,

Aankh mein piyaas howa karti thi
Dil mein tofaan utha kartey thay,

Logg aatey thay ghazal sunney ko
Hum terii bhaat kiya kartey thay,

Sach samajtey thay teray wadoon ko
Raat din ghar mein raha kartey thay,

Kisi veeranay mein tujsey milkar
Dil mein kiaa phool khila kartey thay,

Ghar ki dewaar sajanay kay liye
Hum teraa naam likha kartey thay,

Woh bhi din thay bhulaa kay tujeko
Hum tujey yaad kiya kartey thay,

Jab teray dard mein dil dhukta tha
Hum teray haq mein dua kartey thay,

Bujnay lagta jo chehra tera
Daagh seenay mein jala kartey thay,

Apnay jazboon ki kamn'don say tujey
Hum bhi taskheer kiya kartey thay,

Apnay aansoo bhi sitaroon ki tarah
Teray hontoon pay saja kartey thay,

Chairta tha Ghum-e-Duniya jab bhi
Hum teray ghum say gilla kartey thay,

Kal Tujey Dekh kay Yaad Aya Hay
Hum Sukh'nwr Bhi Howa Kartey Thay.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...