URDU POETRY

Usay apnay farar k fikar thi
woh jo mera waqef-e-hal tha,
Woh jo us ki subah e urooj thi
wohi mera waqt-e-zawal tha,
Mera dard kaisay janta meri baat kaisay manta?
Woh tu khud fana k safr mein tha
ussay rokna bhi mahal tha,
Kahan jao gay mujay chor kar?
Mein poch poch kar thak gaya,
woh jawab mujh ko day na Saka
woh khud sarapa sawal tha,
Woh mila tu sadion k bad bhi mery lab pay koi gila na th,
Usay meri chup nay rula diya jisay guftagu me kmal tha.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...