Usey to kho hi chuke phir khyal kya uska..

Usey to kho hi chuke phir khyal kya uska
Ye fikr kaisi ki ab hoga haal kya uska,

Wo ek shakhs jise khud hi chor baithe thay..
Ghulaye deta hai dil ko malal kya uska,

Tumhari aankhon mein chhalkein nidamtain kaise
Jawab ban ne laga hai sawal kya uska,

Tumhare apne iradon mein koi jhol tha
Kaho ki milna tha aisa muhaal kya uska,

Wo nafraton ke bhanwar mein bhi muskura ke mila
Ab is se badh ke bhala ho kamal kya uska,

Ab is tarha bhi na yadon ki kirchiyan chuniye
Na tha firaq se behtar visal kya uska,

Ye soch kar na mile phir us se kabi
Ke jaane hoga nidamat se haal kya uska.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...