Wo jo sach boltay rehnay ki kasam khaaty hain...

Wo jo sach boltay rehnay ki kasam khaaty hain
Wo adalat main gunahgar howa krty hain,

Sirf hathon ko na daikho kabhi ankhain bhi parho
Kuch sawali baray khud-dar hua karty hain,

Wo jo pathar yunhi rastay may paray rehtay hain
Un ky seenay may bhi shahkar hua krty hain,

Subah ki pehli kiran jin ko rula daiti ha
Wo sitaron ky azadar hua karty hain,

Jin ki ankhon may sada pyar ky sehra chamkain
Dar haqeeqat wohi funkar hua krty hain,

Sharam ati hai dushman kisay smjhain muhsin
Dushman ky bhi kuch mayar hua karty hain.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...