Main aarhay tirchey Khayal sochon
K be-irada kitaab likhon
koi shanasa Ghazal tarashon
k ajnabi antisaab likhon
Ganwa'dun ik umr k zamany
k ik pal ka hisaab likhon,
Meri tabiyat pe munhisar hai
Main jis trah ka Nisaab likhon
Ye Mere apne mizaaj par hai
Azaab sochon
Sawaab likhon,
Taweel tar hai safr,, tumhe kya ?
Main jee raha hon magr tumhe kya ?
magr tumhe kya k tum to kab se
Mere iradey ganwa chuke ho
jala k sary haroof apne
Meri dunya bhuja chuke ho,
Main raat orhon k subah pehno'n
Tum apni rasmein utha chuke ho
Suna hai sab kuch bhula chuke ho
Tu ab Mere Dil pe jabr kesa ho?
Ye Dil to hadd se guzr chuka ha
Guzr chuka ha magr tumhe kya,
Khizaa,n ka mosam thehar chuka hai
Thehar chuka hai magr tumhe kya.?
magr tumhe kya k iss khizaan me
Main jis trah k khwab likhon
k ik pal ka hisaab likhon
Azaab sochon
Sawaab likhon
MAGAR TUMHE KYA
No comments:
Post a Comment