Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya

Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya
Maa ke anchal me sar chhupa ke sone ka mann kiya,

Duniya ki is bhag daud me kho chuka the riste sab
Aaj phir un riston ko ek sire se sanjone ka mann kiya,

Kisi din kisi bheed me dekhi thi kisi ki ankhen
Aaj fir un ankhon me khone ka mann kiya,

Roj sapno se baatein karta tha main
Aaj na jane kyun unse muh modne ka man kiya,

Jhooth bolta hoon apne aap se roj main
Aaj na jane kyun khud se ek sach bolne ka mann kiya,

Dil todta hoon sab ka apni baaton se main
Aaj na jane kyun ek toota hua dil jodne ka mann kia,

Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya
Maa ke anchal me sar chhupa ke sone ka mann kiya.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...