Ye kisaka tasavur hai, ye kisaka fasana hai

Ye kisaka tasavur hai, ye kisaka fasana hai
Jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai,

Aankhon mein nami si hai chup-chup se vo baithe hain
Nazuk si nigaahon mein naazuk sa fasana hai,

Ye ishq nahin aasaan itana to samajh lije,
Ek aag kaa dariyaa hai aur doob ke jana hai,

Yaa wo the khafa ham se ya ham the khafa unse
kal un ka zamana tha aaj apana zamana hai.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...