Hijar k Mousam main ye barish ka barasna kaisa ?

Hijar k Mousam main ye barish ka barasna kaisa ?
Ik sehra se sumandar ka guzarna kaisa ?

Ayee mere dil na pareshan ho tanha ho kar
Wo tere saath chala kab tha-Bicharna kaisa ?

Log kehte hain gulshan ki tabahi dekho
Main to veeran sa jungle tha-Ujarna kaisa ?

Dekhny may to koi dard nahi
Phir ye ankho may youn ashko ka ubharna kaisa ?

Bewafa kehne ki jurrat b na karna
Us nay iqraar kiya kab tha - Mukarna kaisa ?

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...