Kabhi Gham yun bhi hota hai, Urdu Ghazal, Ghazal Poetry, SAd Ghazal, Sad Pictures, Sad Images Poetry,

Kabhi Gham yun bhi hota hai

K sansain toot jati hain
Kisi ki raah tak tak ker
Nigahain sookh jati hain
Jinhen ana ho jeewan main

Wohi aanay nahi patey
Jinhen ana ho khuwabon mein
Woh rastay bhool jatay hain

Kabhi Gham yun bhi hota hai

Jahan dil apna khilta hai
Wahin mausam badalta hai
Humain jo naam lena ho
Amanat aur ki ho woh
Humain jo baat kerni ho
Sira woh mil nahin pata

Kabhi Gham yun bhi hota hai

Jahan phoolon ki aahat ho
Khizan bhi tan k aati hai
Koi dharkan sunaaye gi
Humain kya raaz ki batain
Kabhi jab aankh dil per ho
To Dil hi mil nahin patey

Kabhi Gham yun bhi hota hai

K lawaa beh nahiN pata
Khwahish aisi hoti hai
Mager hum roo nahi saktey
Sar-e-maqtal kharay ho ker
Kabhi Tum ko pukarain to
Sada’ain mil nahi saktiin

Kabhi Gham yun bhi hota hai

K mar janey ko Dil chahay
Koi marney nahi deta

Kabhi Gham yun bhi hota hai

Humain hi gham kyun hota hai
Usay Gham kyun nahi hota.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...