Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain

 
Tumhain bhi ishq karnay ke hunar aanay lagay hain
Tu kya ab khwab din main bhi nazar aanay lagay hain,

Na aankhain dekh sakti hain na hathon ki pohanch hai
Ye kaisay ab k pairon per samar aanay lagay hain,

Tumhain kehta nahin tha khaak main taseer bhi hai
Udhar dekho musaafir lout kar aanay lagay hain,

Bisaat e assmaaN se ab m'ri jaanib sitaary
Saf e sayyargaaN ko toR kar aanay lagay hain,

BayabaaN paaoN se lipty huwye hain gard ho kar
Hamain dar'paish ye kaisay safar aanay lagay hain,

Abhi to koi aabaadi ki soorat bhi nahin hai
Abhi se bastiyoN main nauha'gar aanay lagay hain,

Abhi to milnay ki sa'at Saleem aai nahin hai
Abhi se dil main kaisay kaisay dar aanay lagay hain.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...