Aadtain uski thi bus mujhay jalanay wali

Aadtain uski thi bus mujhay jalanay wali
Baat ki hans kay magar dil ko dukhanay wali,

Aajkal wo mujhay kuch badla huwa lagta hai
Ho gain uski nighain bhi zamanay wali,

Hum nay ikhlas ka daaman nahi chora ab tak
Haye uski to mohabbat hai rulanay wali,

Main nay samjha tha guzar jai ga mausam laikin
Rut - e - barsaat bhi nikli to sataanay wali,

Tumharay wastay ab koi nahi hai WASI
Khud sai batain na karo dil ko behlanay wali.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...