Shikasta khwab-o-shikasta pa hun mujhe duaon mein yaad rakhna


Shikasta khwab-o-shikasta pa hun mujhe duaon mein yaad rakhna
Mein aakhri jang ler raha hun mujhey duaon mein yaad rakhna,

Hawaein pegham day gai hein keh mujh ko darya bula raha hai
Mein baat sari samajh gya hun mujhey duaon mein yad rakhna,

Na janay koofay ki kya khabar ho, na janay kis dasht main basar ho
Main phir Madiney se ja raha hoon, mujhay duaon main yad rakhna,

Mujhay azeezan-e-man, mohabbat ka koi bhi tajarba nahin hai
Main is safar main nya nya hoon, mujhay duaon main yad rakhna,

Mujhey kisi say bhalai ki ab koi tawaqqo' nahin hai Tabish
Mein aadatan sab se keh raha hun mujhe duaon mein yad rakhna.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...