Iss baar kuch aisa mein chahta hoon

Iss baar kuch aisa mein chahta hoon
Tum ko apna banaana chahta hoon,

Bhula kar apne sab gham
Tumhe dilse apnana chahta hoon,

Tumhe tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon,

Apne naam k saath joar kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon,

Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhe har dua mein mangna chahta hoon,

Ho jaao tum meri aur main tumhara
Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon,

Tum se hi ki bass mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon,

Karta hoon aaj main ye iqraar
Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon,

Haq ke saath kahoon tumhe main apna
Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...