Chehray parhta, aankhein likhta rehta hoon,


Chehray parhta, aankhein likhta rehta hoon
Mein bhi kaisi baatein likhta rehta hoon,

Saare jism darakhtoon jaise lagte hain
Aur baanhoon ko shaakhein likhta rehta hoon,

Tujh ko khat likhne ke taivar badal gaye
Aari tirchee satrain likhta rehta hoon

Teri zulf ke saaye dheyaan mein rehte hain
Mein subhoon ko shaamain likhta rehta hoon,

Apne pyar ki phool mehakti raahoon mein
Logoon ko deevaraain likhta rehta hoon,

Tujh se mil kar saare dukh dhuraoonga
Hijr ki saari baatein likhta rehta hoon,

Sookhe phool, kitaabein, Zakhm judaee ke
Teri sab sogaatein likhta rehta hoon,

Us ki bheegi palkain hansti rehti hain
Mohsin jab tak ghazlain likhta rehta hoon.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...