Kya Yehi Ishq ka Mayaar Bana rakha hai


Kya Yehi Ishq ka Mayaar Bana rakha hai
Tum Ne Hr Shakhs ko DiL'daar Bana rakha hai,

Log Aatay hain Thehrtay hain ChLay Jatay hain
Tum Ne to DiL ko bhi Bazaar Bana rakha hai,

Aankh men AShk Bhray Jisam pe Maatam k Nishaan
iShQ Ne Sab ko Aza'daar Bana rakha hai,

Sach to Ye hay k khud Apna Mukhalif Main hoon
Khud ko Khud Raah ki Dewaar Bana rakha hai,

Dukh to Ye hay k Wo Saari hi Kahani main Nahi
Hum Ne Jisko Markzi kirdaar Bana rakha hai.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...