Aahista kadam rakhna yeh dil ki zamin hai

Aahista kadam rakhna yeh dil ki zamin hai
Yahan khoi si aanknon mai teri tasveer thami hai,

Hamne ye dekha hai tum bhi to kabhi dekho
Sooraj ki palkon par shabnam ki nami hai,

Mana ki pareshan hun tu bhi to pareshan hai
Hairan hun main dil mai tu kis mitti ki bani hai,

Ye kaisi kasam de di neendon ko miri tune
Aankhen yahan barson se ab khawab nashin hain.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...