Phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye

Phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye
Phir patton ki paajeb baji tum yaad aaye,

Phir kuunjein bolin ghaas ke hare samundar mein
Rut aai pile phuulon ki tum yaad aaye,

Pahale to main chikh ke roya aur phir hansane laga
Baadal garaja bijali chamaki tum yaad aaye,

Phir kaaga bola ghar ke suune aangan mein
Phir amrrit ras ki buund padi tum yaad aaye,

Din bhar to main duniya ke dhandhon mein khoya raha
Jab diwaaron se dhuup dhali tum yaad aaye.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...