Zaavia jitna Nigahon ka sanwar jata hai by Mohsin Naqvi,

 Zaavia jitna Nigahon ka sanwar jata hai
Tera Rukhsaar bhi utna hi nikhar jata hai,

Aisy lamhaat bhi Aaty hain Rah-e-Ulfat men
Ya wafa hath se jati hai ya Sar jata hai,

Main tery gham men bhala ashk bahaon kab tak
Aankh to aankh hai Darya bhi utar jata hai,

Hasti-e-gul hai faqat chand adaaon pey Muheet
Phool sharmata hai, hansta hai,Bikhar jata hai,

Qurbat-e-yaar sey "MOHSIN" ko baqa milti hai
Zarf parwany ka chota hai jo mar jata hai.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...