Jin Ke Aangan Mein Ameeri Ka Shajar Laga Ho


Jin Ke Aangan Mein Ameeri Ka Shajar Laga Ho
Unn Ka Har Aaib Bhi Duniya Ko Hunar Lagta Hai,

Iss Dard-e-Dil Ka Zamaane MeN Koi Sahaara Nahi
Main Woh Dariya Hoon Jis Ka Koi Kinaara Nahi,

Ek Jalte Hue Diye Ko Roz Bujhaa Deti Hai Hawaa
Koi Puche Uss Diye Se,Woh Jaan-Boojh Kar Haara Nahi,

ViraniyoN MeN Bhi Chalte Rehne Ka Hausla Rakhta Hoon
Tum Khud Aaye Ho, Maine To TumheN Kabhi Pukaara Nahi,

Har Taraf Ek Ajeeb Si Khamoshi Hai Iss Shehar MeN
Tum Sab Ke Ho Bhi Jaao To Kya,Koi Yahaan Tumhara Nahi,

Purshish-e-Gham Ki Bhi Rasm Kaun Nibhaata Hai Yahaan
Koi Hai Iss Duniya MeN,Jo Kisi Bhi Gham Ka Maara Nahi,

Prashant Zindagi Jab Bhi Mauka De,Khul Kar Muskuraao
Kuch Sukoon Ke Pal Zaruri Hai Varna Zindagi ka Guzaara Nahi.

No comments:

Post a Comment

LinkWithin

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...